मैं तो यों ही आपके शहर से गुज़रता
उन्नीसवीं सदी के उपन्यास का कोई पात्र हूँ
मेरी आँखें देखती हैं जिस तरह के दृश्य, बेफ़िक्र रहें
वे इस यथार्थ में नामुमकिन हैं
मेरे शरीर से, ध्यान से सुनें तो
आती है किसी भापगाड़ी के चलने की आवाज़
मैं जिससे कर सकता था प्यार
विशेषज्ञ जानते हैं, वर्षों पहले मेरे बचपन के दिनों में
शिवालिक या मेकल या विंध्य की पहाड़ियों में
अंतिम बार देखी गई थी वह चिड़िया
जिस पेड़ पर बना सकती थी वह घोंसला
विशेषज्ञ जानते हैं, वर्षों पहले अंतिम बार देखा गया था वह पेड़
अब उसके चित्र मिलते हैं पुरा-वानस्पतिक किताबों में
तने के फ़ॉसिल्स संग्रहालयों में
पिछली सदी के बढ़ई मृत्यु के बाद भी
याद करते हैं उसकी उम्दा इमारती लकड़ी
मेरे जैसे लोग दरअसल संग्रहालयों के लायक़ भी नहीं हैं
कोई क्या करेगा आख़िर ऐसी वस्तु रखकर
जो वर्तमान में भी बहुतायत में पाई जाती है
वैसे हमारे जैसों की भी उपयोगिता है ज़माने में
रेत घड़ियों की तरह हम भी
बिल्कुल सही समय बताते थे
हमारा सेल ख़त्म नहीं होता था
पृथ्वी का गुरुत्वाकर्षण हमें चलाता था
हम बहुत कम ख़र्चीले थे
हवा, पानी, बालू आदि से चल जाते थे
अगर कोयला डाल दें हमारे पेट में
तो यक़ीन करें हम अब भी दौड़ सकते हैं।
shaq ki koi wajah nahin hai
main to yon hi aapke shahr se guzarta
unniswin sadi ke upanyas ka koi patr hoon
meri ankhen dekhti hain jis tarah ke drishya, befir rahen
we is yatharth mein namumkin hain
mere sharir se, dhyan se sunen to
ati hai kisi bhapgaDi ke chalne ki awaz
main jisse kar sakta tha pyar
wisheshagya jante hain, warshon pahle mere bachpan ke dinon mein
shiwalik ya mekal ya windhya ki pahaDiyon mein
antim bar dekhi gai thi wo chiDiya
jis peD par bana sakti thi wo ghonsla
wisheshagya jante hain, warshon pahle antim bar dekha gaya tha wo peD
ab uske chitr milte hain pura wanaspatik kitabon mein
tane ke fausils sangrhalyon mein
pichhli sadi ke baDhai mirtyu ke baad bhi
yaad karte hain uski umda imarti lakDi
mere jaise log darasal sangrhalyon ke layaq bhi nahin hain
koi kya karega akhir aisi wastu rakhkar
jo wartaman mein bhi bahutayat mein pai jati hai
waise hamare jaison ki bhi upyogita hai zamane mein
ret ghaDiyon ki tarah hum bhi
bilkul sahi samay batate the
hamara cell khatm nahin hota tha
prithwi ka gurutwakarshan hamein chalata tha
hum bahut kam kharchile the
hawa, pani, balu aadi se chal jate the
agar koyala Dal den hamare pet mein
to yaqin karen hum ab bhi dauD sakte hain

स्रोत :
पुस्तक : रात में हारमोनियम (पृष्ठ 14)
रचनाकार : उदय प्रकाश
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.