हम ज़िंदा रहते हैं फिर भी
उस पहाड़ की तरह जो दरकता है हर रोज़
या काट दिया जाता है रास्ता बनाने के लिए
और फिर भी खड़ा रहता है सिर उठाए
बचे रहने का अभिनय करते हुए
हम ज़िंदा रहते हैं फिर भी
रसोईघर के कोने में पड़े उस रंगीन पोंछे की तरह
जो घिस-घिसकर फट चुका है कई जगहों से
और फिर भी हो रहा है इस्तेमाल हर रोज़ कई बार
बचे रहने का अभिनय करते हुए
हम ज़िंदा रहते हैं फिर भी
मिट्टी के चूल्हे में जलते कोयले की तरह
जो जल-जलकर बन जाता है अंगार
और फिर भी धधकता रहता है
बचे रहने का अभिनय करते हुए
हमारी अभिनय क्षमता तय करती है हमारा ज़िंदा दिखना
और हमारा ज़िंदा दिखना ही है विश्व की सबसे रोमांचक कहानी
hum zinda rahte hain phir bhi
us pahaD ki tarah jo darakta hai har roz
ya kat diya jata hai rasta banane ke liye
aur phir bhi khaDa rahta hai sir uthaye
bache rahne ka abhinay karte hue
hum zinda rahte hain phir bhi
rasoighar ke kone mein paDe us rangin ponchhe ki tarah
jo ghis ghiskar phat chuka hai kai jaghon se
aur phir bhi ho raha hai istemal har roz kai bar
bache rahne ka abhinay karte hue
hum zinda rahte hain phir bhi
mitti ke chulhe mein jalte koyle ki tarah
jo jal jalkar ban jata hai angar
aur phir bhi dhadhakta rahta hai
bache rahne ka abhinay karte hue
hamari abhinay kshamata tay karti hai hamara zinda dikhna
aur hamara zinda dikhna hi hai wishw ki sabse romanchak kahani

स्रोत :
रचनाकार : सुलोचना
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.