मैं वहाँ पहुँचा
जहाँ हमेशा से आना चाहता था
मुझे मिला कहाँ
जो हमेशा से पाना चाहता था
मैंने शहर के पाँव पखारे
खँडहर के मुँह पर छींटे मारे
मैं नींद में चला
मैं हिंद में चला
मुझे यह भी कहाँ पता था
और वह
और वह भी
दुनिया और दुनिया
और दुनियाओं से
भिड़ते
प्यार और तिरस्कार
और अविस्तार से
कुढ़ते
कोई कितनी विपदा
झेल सकता है
रीढ़ के बलबूते
दीवार से टिकाई पीठ
पलटवार में छुपाया मुँह
काट दिए दिन अव्यवस्था के
उसने भी सुनी सभी बातें
कही एक भी नहीं
मेरा छुआ हुआ सब कुछ मर गया
और खुली आँख का अँधेरा
और सवालिया निशान लगाता सवेरा
बस इतना ही क़रीब आ सका
मैं तुम सबके
अब एक और शब्द नहीं करूँगा बर्बाद
main vahan pahuncha
jahan hamesha se aana chahta tha
mujhe mila kahan
jo hamesha se pana chahta tha
mainne shahr ke paanv pakhare
khanDahar ke munh par chhinte mare
main neend mein chala
main hind mein chala
mujhe ye bhi kahan pata tha
aur wo
aur wo bhi
duniya aur duniya
aur duniyaon se
bhiDte
pyaar aur tiraskar
aur avistar se
kuDhte
koi kitni vipda
jhel sakta hai
reeDh ke balbute
divar se tikai peeth
palatvar mein chhupaya munh
kaat diye din avyavastha ke
usne bhi suni sabhi baten
kahi ek bhi nahin
mera chhua hua sab kuch mar gaya
aur khuli ankh ka andhera
aur savaliya nishan lagata savera
bas itna hi qarib aa saka
main tum sabke
ab ek aur shabd nahin karunga barbad
main vahan pahuncha
jahan hamesha se aana chahta tha
mujhe mila kahan
jo hamesha se pana chahta tha
mainne shahr ke paanv pakhare
khanDahar ke munh par chhinte mare
main neend mein chala
main hind mein chala
mujhe ye bhi kahan pata tha
aur wo
aur wo bhi
duniya aur duniya
aur duniyaon se
bhiDte
pyaar aur tiraskar
aur avistar se
kuDhte
koi kitni vipda
jhel sakta hai
reeDh ke balbute
divar se tikai peeth
palatvar mein chhupaya munh
kaat diye din avyavastha ke
usne bhi suni sabhi baten
kahi ek bhi nahin
mera chhua hua sab kuch mar gaya
aur khuli ankh ka andhera
aur savaliya nishan lagata savera
bas itna hi qarib aa saka
main tum sabke
ab ek aur shabd nahin karunga barbad
स्रोत :
रचनाकार : सत्यम तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.