लोग दूर जा रहे हैं—
(हर कोई हर किसी से दूर)—
लोग दूर जा रहे हैं
और बढ़ रहा है
मरे आस-पास का ‘स्पेस’!
इस ‘स्पेस’ का अनुवाद
'विस्तार' नहीं, 'अंतरिक्ष' करूँगी मैं,
क्योंकि इसमें मैंने उड़नतश्तरी छोड़ रखी है।
समय का धन्यवाद
कि मेरी घड़ी बंद है,
धन्यवाद खिड़की का
कि ऐन उसके सीखचों के पीछे
गर्भवती है चिड़िया!
जो भी जहाँ है सबका धन्यवाद
कि इस समय मुझमें सब हैं,
सबमें मैं हूँ थोड़ी-थोड़ी!
भाँय-भाँय बजाता है हारमोनियम
मेरा ख़ाली घर!
इस ‘ख़ाली’ समय में
बहुत काम हैं।
अभी मुझे घर की उतरनों का
अनुवाद करना होगा
जल की भाषा में,
फिर जूठी प्लेटों का
किसी श्वेत पुष्प की पँखुड़ियों में
अनुवाद करूँगी मैं
फिर थोड़ी देर खड़ी सोचूँगी
कि एक झाग-भरे सिंक का
क्या मैं कभी कर सकूँगी
किसी राग में अनुवाद?
दरअसल, इस पूरे घर का
किसी दूसरी भाषा में
अनुवाद चाहती हूँ मैं
पर वह भाषा मुझे मिलेगी कहाँ
सिवा उस भाषा के
जो मेरे बच्चे बोलते हैं?
इसमें ही हो जाएगी शाम,
ओर इस शाम का अनुवाद
इतना ही करूँगी कि उठूँगी—
खोल दूँगी पर्दे!
अंतिम उजास की छिटकी हुई किर्चियाँ
पल भर में भर देंगी
सारा का सारा स्पेस
और फिर उसका अनुवाद
‘अंतरिक्ष’ नहीं, ‘विस्तार’ करूँगी मैं—
केवल विस्तार!
log door ja rahe hain—
(har koi har kisi se door)—
log door ja rahe hain
aur baDh raha hai
mare aas pas ka ‘space’!
is ‘space’ ka anuwad
wistar nahin, antriksh karungi main,
kyonki ismen mainne uDantashtri chhoD rakhi hai
samay ka dhanyawad
ki meri ghaDi band hai,
dhanyawad khiDki ka
ki ain uske sikhchon ke pichhe
garbhawti hai chiDiya!
jo bhi jahan hai sabka dhanyawad
ki is samay mujhmen sab hain,
sabmen main hoon thoDi thoDi!
bhanya bhanya bajata hai harmonium
mera khali ghar!
is ‘khali’ samay mein
bahut kaam hain
abhi mujhe ghar ki utarnon ka
anuwad karna hoga
jal ki bhasha mein,
phir juthi pleton ka
kisi shwet pushp ki pankhuDiyon mein
anuwad karungi main
phir thoDi der khaDi sochunngi
ki ek jhag bhare sink ka
kya main kabhi kar sakungi
kisi rag mein anuwad?
darasal, is pure ghar ka
kisi dusri bhasha mein
anuwad chahti hoon main
par wo bhasha mujhe milegi kahan
siwa us bhasha ke
jo mere bachche bolte hain?
ismen hi ho jayegi sham,
or is sham ka anuwad
itna hi karungi ki uthungi—
khol dungi parde!
antim ujas ki chhitki hui kirchiyan
pal bhar mein bhar dengi
sara ka sara space
aur phir uska anuwad
‘antriksh’ nahin, ‘wistar’ karungi main—
kewal wistar!
log door ja rahe hain—
(har koi har kisi se door)—
log door ja rahe hain
aur baDh raha hai
mare aas pas ka ‘space’!
is ‘space’ ka anuwad
wistar nahin, antriksh karungi main,
kyonki ismen mainne uDantashtri chhoD rakhi hai
samay ka dhanyawad
ki meri ghaDi band hai,
dhanyawad khiDki ka
ki ain uske sikhchon ke pichhe
garbhawti hai chiDiya!
jo bhi jahan hai sabka dhanyawad
ki is samay mujhmen sab hain,
sabmen main hoon thoDi thoDi!
bhanya bhanya bajata hai harmonium
mera khali ghar!
is ‘khali’ samay mein
bahut kaam hain
abhi mujhe ghar ki utarnon ka
anuwad karna hoga
jal ki bhasha mein,
phir juthi pleton ka
kisi shwet pushp ki pankhuDiyon mein
anuwad karungi main
phir thoDi der khaDi sochunngi
ki ek jhag bhare sink ka
kya main kabhi kar sakungi
kisi rag mein anuwad?
darasal, is pure ghar ka
kisi dusri bhasha mein
anuwad chahti hoon main
par wo bhasha mujhe milegi kahan
siwa us bhasha ke
jo mere bachche bolte hain?
ismen hi ho jayegi sham,
or is sham ka anuwad
itna hi karungi ki uthungi—
khol dungi parde!
antim ujas ki chhitki hui kirchiyan
pal bhar mein bhar dengi
sara ka sara space
aur phir uska anuwad
‘antriksh’ nahin, ‘wistar’ karungi main—
kewal wistar!
स्रोत :
पुस्तक : उर्वर प्रदेश (पृष्ठ 189)
संपादक : अन्विता अब्बी
रचनाकार : अनामिका
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.