din ki sabse akhiri awaz kho jati hai
sham hote hi Doob jate hain sare bharose
aur saDken hata leti hain
apne upar bichhaya hua zindagi ka sara kabaD
ahate sunai dete hain der raat—
chiDiyan ki awazon ki tarah
nakhun nochte kutarte hain—
yaden purani jab
haar phool utarkar
dewta jab mukt ho jate hain—
duniya ki pahredari se
aur ishwar so jata hai
din bhar ki drishti se thak kar
theek us ghaDi mein
apni lau ko ankhon ki hatheliyon par rakhkar
baith jana chahiye—
deh ki sabse chup jagah mein
jahan pairon mein bandh deen gai ho anant prtikshayen
ankhon ko latka diya gaya ho ghupp andhere mein
uski yaad ki jhini parat ke us taraf
wahan
us jagah
ek chhaya hai—
uske hone ki sabse dhundhli aas mein
atm ke sabse akhiri nagar mein
tah ke pichhe ek aur tah mein
kuch nahin ke baad
ek aur kuch nahin mein
darwaze ke aar par
adami aur ishwar se pare
usne apni sari kawitayen isi tarah DhunDhin—
deh ke sabse akhiri parde mein—
jiwan ke sabse ujaD arany mein—
ankhon ke sabse anjan rang mein