उन छोटे-छोटे पलों को बटोरने की कोशिश में हूँ
जो सड़क पर भागते दृश्यों में खो जाते पत्थर से
दब कर पिस जाते बेतहाशा साँस लेने में छूट जाते
उन घिरी हुई साँझों और सवेरों की चिटकती हुई
तस्वीरों में अक्सर कुछ न होने में
कुछ हो जाते सच के पास
गोया सांत्वना के हाथ
ठंड में सिकुड़े एक दूसरे से दूर दूर
आग की हल्की-सी छुअन की तरह घुटन के भीतर
मचलती एक ज़रा-सी हरकत की तरह
उभर कर टूटते हैं टूट कर चमकते हैं चमक कर
तड़प कर छिटक कर गिर गिर गिर जाते हैं...
आँख से
खुरचते ही ज़मीन पर
पड़ी हुई रेखा उठ खड़ी होती है तमक कर
चीज़ें जो बाहर थीं सपाट चिकनी और बेपरवा
एक अर्थ के आस-पास सिर धुनती हैं
मैं अंदर आता हूँ
जो चुपचाप सड़ रहा था ज़ीने पर
उसे बरा कर उस ख़ाली जगह के पास
एक धड़कते हुए धब्बे की मटमैली ख़ामोशी में
दीवार से सट कर गोड़ पसारे उस
एक तन्हा एक उस चेहरे पर
काली-मोटी लकीरों में भूल से अनखिंची रह गई
उस एक बिना रंग की हँसी के पड़ोस में
एक पल की वह एक जीवित और बेबाक छलछल
जहाँ रिस रही थी
एक दबंग समय की कुल बारिश
आसमान के ढह जाने तक
जिस पल की नोक पर
दाँत भींजे मैं भीग रहा हूँ
वह कहाँ है?
un chhote chhote palon ko batorne ki koshish mein hoon
jo saDak par bhagte drishyon mein kho jate patthar se
dab kar pis jate betahasha sans lene mein chhoot jate
un ghiri hui sanjhon aur saweron ki chitakti hui
taswiron mein aksar kuch na hone mein
kuch ho jate sach ke pas
goya santwna ke hath
thanD mein sikuDe ek dusre se door door
ag ki halki si chhuan ki tarah ghutan ke bhitar
machalti ek zara si harkat ki tarah
ubhar kar tutte hain toot kar chamakte hain chamak kar
taDap kar chhitak kar gir gir gir jate hain
ankh se
khurachte hi zamin par
paDi hui rekha uth khaDi hoti hai tamak kar
chizen jo bahar theen sapat chikni aur beparwa
ek arth ke aas pas sir dhunti hain
main andar aata hoon
jo chupchap saD raha tha zine par
use bara kar us khali jagah ke pas
ek dhaDakte hue dhabbe ki matmaili khamoshi mein
diwar se sat kar goD pasare us
ek tanha ek us chehre par
kali moti lakiron mein bhool se ankhinchi rah gai
us ek bina rang ki hansi ke paDos mein
ek pal ki wo ek jiwit aur bebak chhalchhal
jahan ris rahi thi
ek dabang samay ki kul barish
asman ke Dah jane tak
jis pal ki nok par
dant bhinje main bheeg raha hoon
wo kahan hai?

स्रोत :
पुस्तक : अपने होने को अप्रकाशित करता हुआ (पृष्ठ 44)
रचनाकार : मलयज
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.