बिना मांसपेशियों का मन
और बिना हड्डियों के हृदय
कब तक कोई सँभाले?
जहाँ सुबह मिलने जाती है दिन से
दिन मिलने जाता शाम से
शाम रात से
और रात सुबह से
आकाश पृथ्वी से
अँधेरा रौशनी से
जीवन से यौवन भी यूँ ही चला जाता है एक दिन
जैसे पानी की बूँदों का देह से फिसलना
रसोई में खदकते अदहन संग स्वप्न
वाष्पीकृत होता है धीमे-धीमे-धीमे
वह कोई किताब खोलकर पढ़ती है बोलते हुए—
स्त्रियाँ भाग जाती हैं या निकाल दी जाती हैं
भागने और निकालने के बीच की पीड़ा ही
उनका अस्तित्व बनाती है
सहसा उसे याद आती है...
मकई के लावे-सी फूट पड़ने वाली उसकी ही हँसी
यूँ ही कभी भी
कहीं भी...
bina manspeshiyon ka man
aur bina haDDiyon ke hirdai
kab tak koi sambhale?
jahan subah milne jati hai din se
din milne jata sham se
sham raat se
aur raat subah se
akash prithwi se
andhera raushani se
jiwan se yauwan bhi yoon hi chala jata hai ek din
jaise pani ki bundon ka deh se phisalna
rasoi mein khadakte adhan sang swapn
washpikrit hota hai dhime dhime dhime
wo koi kitab kholkar paDhti hai bolte hue—
striyan bhag jati hain ya nikal di jati hain
bhagne aur nikalne ke beech ki piDa hi
unka astitw banati hai
sahsa use yaad aati hai
maki ke lawe si phoot paDne wali uski hi hansi
yoon hi kabhi bhi
kahin bhi
bina manspeshiyon ka man
aur bina haDDiyon ke hirdai
kab tak koi sambhale?
jahan subah milne jati hai din se
din milne jata sham se
sham raat se
aur raat subah se
akash prithwi se
andhera raushani se
jiwan se yauwan bhi yoon hi chala jata hai ek din
jaise pani ki bundon ka deh se phisalna
rasoi mein khadakte adhan sang swapn
washpikrit hota hai dhime dhime dhime
wo koi kitab kholkar paDhti hai bolte hue—
striyan bhag jati hain ya nikal di jati hain
bhagne aur nikalne ke beech ki piDa hi
unka astitw banati hai
sahsa use yaad aati hai
maki ke lawe si phoot paDne wali uski hi hansi
yoon hi kabhi bhi
kahin bhi
स्रोत :
रचनाकार : घुँघरू परमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.