हर प्यारी चीज़ भरोसा देती है
अगर यह वाक्य ग़लत नहीं है
तो तमाम 'नहीं' के बीच ज़रूर
एक छोटी-सी 'हाँ' भी रहती होगी
असंख्य लंबी पैदल यात्राओं की शुरुआत के
एक नन्हे क़दम की तरह
घर में रखे तमाम संदूक़ों में से
एक छोटे से ग़ुल्लक को
प्यार का भरोसा देकर
कभी मैंने कहा था 'हाँ'
'हाँ' बहुत छोटा था
शब्द के औसत आकार से भी छोटा
वह सफ़ेद ही था
बिलकुल सफ़ेद
लेकिन उसे कोई काला भी कह देता तो
इससे इस बात से वास्ता नहीं होता
कि 'काली दिखती वस्तु सफ़ेद नहीं हो सकती'
या 'सफ़ेद दिखती वस्तु में कालिख नहीं खो सकती'
काश कि भरोसे के दर्द को समझकर
मैं एक शब्द 'हाँ' के आकार का
फिर से बचपन की तरह लिख पाता
har pyari cheez bharosa deti hai
agar ye vakya ghalat nahin hai
to tamam nahin ke beech zarur
ek chhoti si haan bhi rahti hogi
asankhya lambi paidal yatraon ki shuruat ke
ek nanhe qadam ki tarah
ghar mein rakhe tamam sandukon mein se
ek chhote se ghullak ko
pyaar ka bharosa dekar
kabhi mainne kaha tha haan
haan bahut chhota tha
shabd ke ausat akar se bhi chhota
wo safed hi tha
bilkul safed
lekin use koi kala bhi kah deta to
isse is baat se vasta nahin hota
ki kali dikhti vastu safed nahin ho sakti
ya safed dikhti vastu mein kalikh nahin kho sakti
kaash ki bharose ke dard ko samajh kar
main ek shabd haan ke akar ka
phir se bachpan ki tarah likh pata
har pyari cheez bharosa deti hai
agar ye vakya ghalat nahin hai
to tamam nahin ke beech zarur
ek chhoti si haan bhi rahti hogi
asankhya lambi paidal yatraon ki shuruat ke
ek nanhe qadam ki tarah
ghar mein rakhe tamam sandukon mein se
ek chhote se ghullak ko
pyaar ka bharosa dekar
kabhi mainne kaha tha haan
haan bahut chhota tha
shabd ke ausat akar se bhi chhota
wo safed hi tha
bilkul safed
lekin use koi kala bhi kah deta to
isse is baat se vasta nahin hota
ki kali dikhti vastu safed nahin ho sakti
ya safed dikhti vastu mein kalikh nahin kho sakti
kaash ki bharose ke dard ko samajh kar
main ek shabd haan ke akar ka
phir se bachpan ki tarah likh pata
स्रोत :
रचनाकार : श्रीधर करुणानिधि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.