घंटी अभी बजी भी नहीं थी
कि मृत्यु आ गई
सारे नीति-नियम तोड़
पर इसमें उस बच्चे का क्या दोष था
जिसकी आँखें अभी सपने भी नहीं देख पाई थीं।
वह लड़की जो अभी प्रेम में पग रही थी
उसकी ग़लती क्या थी?
एक साहित्यकार जिसे अभी कई कहानियाँ लिखनी थीं
एक कवि जिसका नया संकलन अभी आया ही था
एक गायक जिसने अभी-अभी नया राग बनाया ही था
एक किसान जिसने अभी-अभी बेटे की नौकरी लगने के बाद
अपना सारा क़र्ज़ चुकाया ही था
एक पिता जिसकी बेटी की शादी तय थी
उसकी क्या ग़लती थी?
चित्रगुप्त ने एक बार कहा भी
इन्हें न स्वर्ग जाना चाहिए
न नरक
इन्हें अभी रहकर पृथ्वी को ही सुंदर बनाना चाहिए।
ये सब अकाल मृत्यु हैं
इसमें यमराज का कोई दोष नहीं।
ghanti abhi baji bhi nahin thi
ki mirtyu aa gai
sare niti niyam toD
par ismen us bachche ka kya dosh tha
jiski ankhen abhi sapne bhi nahin dekh pai theen
wo laDki jo abhi prem mein pag rahi thi
uski ghalati kya thee?
ek sahityakar jise abhi kai kahaniyan likhni theen
ek kawi jiska naya sanklan abhi aaya hi tha
ek gayak jisne abhi abhi naya rag banaya hi tha
ek kisan jisne abhi abhi bete ki naukari lagne ke baad
apna sara qarz chukaya hi tha
ek pita jiski beti ki shadi tay thi
uski kya ghalati thee?
chitragupt ne ek bar kaha bhi
inhen na swarg jana chahiye
na narak
inhen abhi rahkar prithwi ko hi sundar banana chahiye
ye sab akal mirtyu hain
ismen yamraj ka koi dosh nahin
ghanti abhi baji bhi nahin thi
ki mirtyu aa gai
sare niti niyam toD
par ismen us bachche ka kya dosh tha
jiski ankhen abhi sapne bhi nahin dekh pai theen
wo laDki jo abhi prem mein pag rahi thi
uski ghalati kya thee?
ek sahityakar jise abhi kai kahaniyan likhni theen
ek kawi jiska naya sanklan abhi aaya hi tha
ek gayak jisne abhi abhi naya rag banaya hi tha
ek kisan jisne abhi abhi bete ki naukari lagne ke baad
apna sara qarz chukaya hi tha
ek pita jiski beti ki shadi tay thi
uski kya ghalati thee?
chitragupt ne ek bar kaha bhi
inhen na swarg jana chahiye
na narak
inhen abhi rahkar prithwi ko hi sundar banana chahiye
ye sab akal mirtyu hain
ismen yamraj ka koi dosh nahin
स्रोत :
रचनाकार : बद्री नारायण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.