अजब सन्नाटा है
कोई पत्ता तक नहीं हिलता है
यह शहर लगता है
जैसे कोई मुर्दाघर हो
कोई तो हो जो उदासी के
छाँटे ये अगम्य बादल
इस मनहूस क़िले में गूँजे
ऐसा भी तो कोई स्वर हो!
कोई पायल तो ठनके
कोई चूड़ी तो खनके
कोई तो हो जो निकले
सड़कों पे बन-ठन के
जिसे चूमने का मेरा मन हो
ऐसा भी तो कोई शोला बदन हो
कोई तो ऐसी क़लम हो
जो तलवार की तरह चमके
कोई तो ऐसा गीत हो
जो सूरज की तरह दमके
कोई पहचानी-सी सूरत तो हो
जिसके दौड़ के गले लग जाऊँ
गोद में सिर रख के रोऊँ
जब दुनिया से घबराऊँ
बचाइए, यह शहर
मेरी क़ब्र बनता जाता है
एक दलदल है, चारों तरफ़
जिसमें मेरा क़द (वजूद)
धँसता जाता है।
ajab sannata hai
koi patta tak nahin hilta hai
ye shahr lagta hai
jaise koi murdaghar ho
koi to ho jo udasi ke
chhante ye agamy badal
is manhus qile mein gunje
aisa bhi to koi swar ho!
koi payel to thanke
koi chuDi to khanke
koi to ho jo nikle
saDkon pe ban than ke
jise chumne ka mera man ho
aisa bhi to koi shola badan ho
koi to aisi qalam ho
jo talwar ki tarah chamke
koi to aisa geet ho
jo suraj ki tarah damke
koi pahchani si surat to ho
jiske dauD ke gale lag jaun
god mein sir rakh ke roun
jab duniya se ghabraun
bachaiye, ye shahr
meri qabr banta jata hai
ek daldal hai, charon taraf
jismen mera qad (wajud)
dhansta jata hai
ajab sannata hai
koi patta tak nahin hilta hai
ye shahr lagta hai
jaise koi murdaghar ho
koi to ho jo udasi ke
chhante ye agamy badal
is manhus qile mein gunje
aisa bhi to koi swar ho!
koi payel to thanke
koi chuDi to khanke
koi to ho jo nikle
saDkon pe ban than ke
jise chumne ka mera man ho
aisa bhi to koi shola badan ho
koi to aisi qalam ho
jo talwar ki tarah chamke
koi to aisa geet ho
jo suraj ki tarah damke
koi pahchani si surat to ho
jiske dauD ke gale lag jaun
god mein sir rakh ke roun
jab duniya se ghabraun
bachaiye, ye shahr
meri qabr banta jata hai
ek daldal hai, charon taraf
jismen mera qad (wajud)
dhansta jata hai
स्रोत :
पुस्तक : बेपाँव का सफ़र (पृष्ठ 24)
रचनाकार : राजा दुबे
प्रकाशन : अनामिका प्रकाशन
संस्करण : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.