रविवार की सुबह
एक बच्चा प्रवेश करता है चर्च में
प्रार्थना के बीच टोकता है पादरी को—
‘तू भटक गया है पादरी,
चल मेरे साथ चल...
मैं तेरा घर जानता हूँ’
पादरी, प्रार्थना के उपरांत
बच्चे को उसके घर छोड़ आता है
किसान ज़मीन पर घुटने टेक
प्रार्थना करता है
बारिश के देवता से
सुदूर आकाश में उड़ते गिद्ध
प्रार्थना करते है अनावृष्टि की
विरोधी प्रार्थनाएँ टकराती हैं आकाश में
असमंजस में पड़ा बारिश का देवता
निर्णय के लिए एक सिक्का उछालता है
पहाड़ की नोक पर
उग आए सूरज को देखकर
बच्चा प्रार्थना करता है—
काश, ये सूरज गेंद की तरह टप्पे खाता
उसके पैरों में आकर गिर जाए
बच्चों की प्रार्थनाओं से घबराया हुआ ईश्वर
अपने नवजात पुत्र का सिर काट देता है
हम अपनी प्रार्थनाओं में
लंबी उम्र की कामना करते हैं
कामना करते हैं सौष्ठव शरीर
और अच्छे स्वास्थ्य की
लेकिन उस युद्धग्रस्त देश में
जब प्रार्थना के लिए हाथ उठते हैं
वे कामना करते हैं—
हमारे सीने को इतना चौड़ा करना
कि कारतूस उसे भेद हमारे बच्चों तक न पहुँचे
हमें घर की सीढ़ियों से उतरते हुए गिरा देना
ताकि औरतों को लाशों के ढेर में हमें खोजना न पड़े
हे ईश्वर,
जब युद्ध प्रार्थनाओं को भी विकृत कर दे
तू योद्धाओं से उनकी वीरता छीन लेना
बुद्ध ने अपने अंतिम व्याख्यान में
प्रार्थनाओं को निषेध कर दिया
कहीं कोई ईश्वर नहीं,
तुम्हारी प्रार्थनाएँ मनाकाश में
विचरती हैं निशाचरों की तरह
और तुम्हारा ही भक्षण करती हैं
भिक्षुक प्रार्थनाओं से मुक्ति के लिए
प्रार्थना करते हैं
और भविष्य के लिए मठों में
काठ के छल्ले लगाते हैं।
ravivar ki subah
ek bachcha pravesh karta hai church men
pararthna ke beech tokta hai padari ko—
‘tu bhatak gaya hai padari,
chal mere saath chal. . .
main tera ghar janta hoon’
padari, pararthna ke upraant
bachche ko uske ghar chhoD aata hai
kisan zamin par ghutne tek
pararthna karta hai
barish ke devta se
sudur akash mein uDte giddh
pararthna karte hai anavrishti ki
virodhi prarthnayen takrati hain akash men
asmanjas mein paDa barish ka devta
nirnay ke liye ek sikka uchhalta hai
pahaD ki nok par
ug aaye suraj ko dekhkar
bachcha pararthna karta hai—
kaash, ye suraj gend ki tarah tappe khata
uske pairon mein aakar gir jaye
bachchon ki prarthnaon se ghabraya hua ishvar
apne navjat putr ka sir kaat deta hai
hum apni prarthnaon men
lambi umr ki kamna karte hain
kamna karte hain saushthav sharir
aur achchhe svaasthy ki
lekin us yuddhagrast desh men
jab pararthna ke liye haath uthte hain
ve kamna karte hain—
hamare sine ko itna chauDa karna
ki kartoos use bhed hamare bachchon tak na pahunche
hamein ghar ki siDhiyon se utarte hue gira dena
taki aurton ko lashon ke Dher mein hamein khojna na paDe
he ishvar,
jab yudh prarthnaon ko bhi vikrt kar de
tu yoddhaon se unki virata chheen lena
buddh ne apne antim vyakhyan men
prarthnaon ko nishaedh kar diya
kahin koi ishvar nahin,
tumhari prarthnayen manakash men
vicharti hain nishacharon ki tarah
aur tumhara hi bhakshan karti hain
bhikshuk prarthnaon se mukti ke liye
pararthna karte hain
aur bhavishya ke liye mathon men
kaath ke chhalle lagate hain.
ravivar ki subah
ek bachcha pravesh karta hai church men
pararthna ke beech tokta hai padari ko—
‘tu bhatak gaya hai padari,
chal mere saath chal. . .
main tera ghar janta hoon’
padari, pararthna ke upraant
bachche ko uske ghar chhoD aata hai
kisan zamin par ghutne tek
pararthna karta hai
barish ke devta se
sudur akash mein uDte giddh
pararthna karte hai anavrishti ki
virodhi prarthnayen takrati hain akash men
asmanjas mein paDa barish ka devta
nirnay ke liye ek sikka uchhalta hai
pahaD ki nok par
ug aaye suraj ko dekhkar
bachcha pararthna karta hai—
kaash, ye suraj gend ki tarah tappe khata
uske pairon mein aakar gir jaye
bachchon ki prarthnaon se ghabraya hua ishvar
apne navjat putr ka sir kaat deta hai
hum apni prarthnaon men
lambi umr ki kamna karte hain
kamna karte hain saushthav sharir
aur achchhe svaasthy ki
lekin us yuddhagrast desh men
jab pararthna ke liye haath uthte hain
ve kamna karte hain—
hamare sine ko itna chauDa karna
ki kartoos use bhed hamare bachchon tak na pahunche
hamein ghar ki siDhiyon se utarte hue gira dena
taki aurton ko lashon ke Dher mein hamein khojna na paDe
he ishvar,
jab yudh prarthnaon ko bhi vikrt kar de
tu yoddhaon se unki virata chheen lena
buddh ne apne antim vyakhyan men
prarthnaon ko nishaedh kar diya
kahin koi ishvar nahin,
tumhari prarthnayen manakash men
vicharti hain nishacharon ki tarah
aur tumhara hi bhakshan karti hain
bhikshuk prarthnaon se mukti ke liye
pararthna karte hain
aur bhavishya ke liye mathon men
kaath ke chhalle lagate hain.
स्रोत :
रचनाकार : अहर्निश सागर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.