बुरे हालात में रहते हैं
मेरे अच्छे कवि-मित्र
अच्छी कविताओं के लिए
बुरी परिस्थितियों में फँसे लोगों के बीच जाते हैं
और शुरू करते है बुराई पर बातचीत
और बुरे दिनों के बारे में सोचते हैं
बुरे वक़्त में
बुराई के विरोध में वे
कविता में प्रतिरोध रचते है
लिखना चाहते हैं अच्छी कविताएँ
और अच्छे लोगों में शामिल हो जाना चाहते हैं
चाहते तो हैं
कि अपने संग-साथ ले चलें
अपने बाबू माई
पड़ोसी भाई
घर दुआर
समय संसार सबको ले चलें
पर अक्सर जब होने लगती है
कविताएँ सफल
और अच्छाइयाँ विफल
कवि मित्र छोड़ने लगते हैं मोह माया
और महज़ अच्छी कविताओं के साथ ही
चल पड़तें हैं अपनी अच्छाई की ओर
जैसे चल देता है बड़ी नौकरी पर लगा कोई बेटा
बीवी के संग परदेस
घर परिवार को अपने हाल पर छोड़
अब इस तरह
मेरे वे कवि-मित्र
बुराई से अच्छी पटरी बिठाते है
और अच्छी कविताओं की
अच्छी रक़म बनाते हैं
bure halat mein rahte hain
mere achchhe kavi mitr
achchhi kavitaon ke liye
buri paristhitiyon mein phanse logon ke beech jate hain
aur shuru karte hai burai par batachit
aur bure dinon ke bare mein sochte hain
bure vakt men
burai ke virodh mein ve
kavita mein pratirodh rachte hai
likhna chahte hain achchhi kavitayen
aur achchhe logon mein shamil ho jana chahte hain
chahte to hain
ki apne sang saath le chalen
apne babu mai
paDosi bhai
ghar duar
samay sansar sabko le chalen
par aksar jab hone lagti hai
kavitayen saphal
aur achhaiyan viphal
kavi mitr chhoDne lagte hain moh maya
aur mahz achchhi kavitaon ke saath hi
chal paDten hain apni achchhai ki or
jaise chal deta hai baDi naukari par laga koi beta
bivi ke sang pardes
ghar parivar ko apne haal par chhoD
ab is tarah
mere ve kavi mitr
burai se achchhi patri bithate hai
aur achchhi kavitaon ki
achchhi raqam banate hain
bure halat mein rahte hain
mere achchhe kavi mitr
achchhi kavitaon ke liye
buri paristhitiyon mein phanse logon ke beech jate hain
aur shuru karte hai burai par batachit
aur bure dinon ke bare mein sochte hain
bure vakt men
burai ke virodh mein ve
kavita mein pratirodh rachte hai
likhna chahte hain achchhi kavitayen
aur achchhe logon mein shamil ho jana chahte hain
chahte to hain
ki apne sang saath le chalen
apne babu mai
paDosi bhai
ghar duar
samay sansar sabko le chalen
par aksar jab hone lagti hai
kavitayen saphal
aur achhaiyan viphal
kavi mitr chhoDne lagte hain moh maya
aur mahz achchhi kavitaon ke saath hi
chal paDten hain apni achchhai ki or
jaise chal deta hai baDi naukari par laga koi beta
bivi ke sang pardes
ghar parivar ko apne haal par chhoD
ab is tarah
mere ve kavi mitr
burai se achchhi patri bithate hai
aur achchhi kavitaon ki
achchhi raqam banate hain
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.