अच्छे आदमी
अच्छे बने रहने की फ़िराक़ में रहते हैं हमेशा
वे चिंतन जैसी मुद्रा बनाए रहते हैं हर वक़्त
और तब तलक अपनी ज़ुबान नहीं खोलते
जब तलक उनकी अच्छाई पर खरोंच न लगने लगे
अच्छे आदमी को
अपने अलावा कुछ भी अच्छा नहीं लगता इस संसार में
वे इतने अच्छे होते हैं कि
धूल का एक धब्बा तक बर्दाश्त नहीं कर पाते अपनी क़मीज़ पर
नज़ला से तुरंत बहने लगती है उनकी नाक
अच्छे आदमी
अच्छा खाते-पीते-पहनते हैं
और इतना अच्छा सोचते हैं कि
दुनिया का हर भूखा-प्यासा-नंगा
उन्हें गँवार दिखाई पड़ता है
जिन्हें इसी बिना पर इस दुनिया में जीने-रहने का कोई हक़ नहीं होना चाहिए
अच्छे आदमी
अक्सर अपनी बातों में बताते हैं
कि ख़ून-पसीना एक कर बेहतर बनाई जा सकती है यह दुनिया
हालाँकि ज़रूरत पड़ने पर भी वे लांघ नहीं पाए अपने ही घरों की दहलीज़ तक
अच्छे आदमी
मोम की तरह सुकुमार होते हैं
जो थोड़ी भी आँच बर्दाश्त नहीं कर पाते
और ग़ायब हो जाते हैं परिदृश्य से तुरंत ही
अच्छे आदमी
अक्सर चुप रहते हैं
क्योंकि चुप्पी में दोतरफ़ा धार होती है
और अगर बोलना ही पड़ा किसी कारणवश
तो बोलते हैं इस तरह कि दोस्त से लेकर दुश्मन तक
सब उनकी बातों में अपने-अपने मतलब की चीज़ें तलाश लेते हैं
अच्छे आदमी
इतने अच्छे होते हैं कि
उनसे कभी भी पूछा जा सकता है यह
कि अच्छे आदमी क्योंकर अच्छे होते हैं
जिसके जवाब में उनके गले से सिर्फ़ हकलाहट की आवाज़ आती है
अच्छे आदमी
बुराई से कोसों दूर भागते हैं
और इस बात को अनसुना कर देते हैं हमेशा
कि केवल अच्छी-अच्छी बातों से
दुनिया कभी भी अच्छी नहीं बन सकती
अच्छे आदमी
अक्सर अपनी अच्छाइयों में ही खो जाते हैं इस क़दर
कि वे सिर्फ़ योजनाएँ बनाने में मशग़ूल रहते हैं
बुराई से लड़ने की हिम्मत नहीं जुटा पाते कभी
अच्छे आदमी
दरअसल, आवर्त सारणी के ख़ाली पड़े उस खाने जैसे होते हैं
जिनके तत्त्वों की खोज किया जाना बाक़ी है आज भी।
achchhe adami
achchhe bane rahne ki firaq mein rahte hain hamesha
we chintan jaisi mudra banaye rahte hain har waqt
aur tab talak apni zuban nahin kholte
jab talak unki achchhai par kharonch na lagne lage
achchhe adami ko
apne alawa kuch bhi achchha nahin lagta is sansar mein
we itne achchhe hote hain ki
dhool ka ek dhabba tak bardasht nahin kar pate apni qamiz par
nazla se turant bahne lagti hai unki nak
achchhe adami
achchha khate pite pahante hain
aur itna achchha sochte hain ki
duniya ka har bhukha pyasa nanga
unhen ganwar dikhai paDta hai
jinhen isi bina par is duniya mein jine rahne ka koi haq nahin hona chahiye
achchhe adami
aksar apni baton mein batate hain
ki khoon pasina ek kar behtar banai ja sakti hai ye duniya
halanki zarurat paDne par bhi we langh nahin pae apne hi gharon ki dahliz tak
achchhe adami
mom ki tarah sukumar hote hain
jo thoDi bhi anch bardasht nahin kar pate
aur ghayab ho jate hain paridrshy se turant hi
achchhe adami
aksar chup rahte hain
kyonki chuppi mein dotarfa dhaar hoti hai
aur agar bolna hi paDa kisi karanawash
to bolte hain is tarah ki dost se lekar dushman tak
sab unki baton mein apne apne matlab ki chizen talash lete hain
achchhe adami
itne achchhe hote hain ki
unse kabhi bhi puchha ja sakta hai ye
ki achchhe adami kyonkar achchhe hote hain
jiske jawab mein unke gale se sirf haklahat ki awaz aati hai
achchhe adami
burai se koson door bhagte hain
aur is baat ko ansuna kar dete hain hamesha
ki kewal achchhi achchhi baton se
duniya kabhi bhi achchhi nahin ban sakti
achchhe adami
aksar apni achchhaiyon mein hi kho jate hain is qadar
ki we sirf yojnayen banane mein mashghul rahte hain
burai se laDne ki himmat nahin juta pate kabhi
achchhe adami
darasal, awart saranai ke khali paDe us khane jaise hote hain
jinke tattwon ki khoj kiya jana baqi hai aaj bhi

स्रोत :
रचनाकार : संतोष कुमार चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.