पारभाषी शाखाओं के जाल में
बन रही एक आकृति
सहज ही।
मिल रही एक अटकन
झर रही पत्तियाँ
आँखों में बन रहा एक बिंब
उस ओर का
स्याह रंग लिए
खुल रही परत दर परत
आकाश की छवियाँ
फुनगियाँ कर रहीं बार-बार
उनको सफ़ेद और हरा
(रंग रहीं)
मानो अपनी अमिट छाप
छोड़ना चाहती हों
किसी कैनवास पर
किसी डाल पर बैठ
कोयल बोल रही बेतहाशा
कू...कू...कू...
एक बड़ी आकृति लिए मेरी छाया
धीरे-धीरे छोड़ रही है
शरीर का दामन
पक्षी लौट रहे अपने ठिकाने पर
शाखाएँ झुक रहीं
आकृतियाँ मिट रहीं
एक गहरी चुहल के बाद
सब शांत।
parbhashi shakhaon ke jaal men
ban rahi ek akriti
sahj hi.
mil rahi ek atkan
jhar rahi pattiyan
ankhon mein ban raha ek bimb
us or ka.
syaah rang liye
khul rahi parat dar parat
akash ki chhaviyan
phungiyan kar rahin baar baar
unko safed aur hara
(rang rahin)
mano apni amit chhaap
chhoDna chahti hon
kisi kainvas par.
kisi Daal par baith
koel bol rahi betahasha
ku. . . ku. . . ku. . .
ek baDi akriti liye meri chhaya
dhire dhire chhoD rahi hai
sharir ka daman.
pakshi laut rahe apne thikane par
shakhayen jhuk rahin
akritiyan mit rahin
ek gahre chuhal ke baad
sab shaant.
parbhashi shakhaon ke jaal men
ban rahi ek akriti
sahj hi.
mil rahi ek atkan
jhar rahi pattiyan
ankhon mein ban raha ek bimb
us or ka.
syaah rang liye
khul rahi parat dar parat
akash ki chhaviyan
phungiyan kar rahin baar baar
unko safed aur hara
(rang rahin)
mano apni amit chhaap
chhoDna chahti hon
kisi kainvas par.
kisi Daal par baith
koel bol rahi betahasha
ku. . . ku. . . ku. . .
ek baDi akriti liye meri chhaya
dhire dhire chhoD rahi hai
sharir ka daman.
pakshi laut rahe apne thikane par
shakhayen jhuk rahin
akritiyan mit rahin
ek gahre chuhal ke baad
sab shaant.
स्रोत :
रचनाकार : प्रखर शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.