आओ मेरे पास
मैं बताऊँगा
कैसे अटक जाता है काँटा
मछली के गले में
और छलनी हो जाता है
एक पूरा समुद्र
आओ मेरे पास
मैं दिखाऊँगा
कैसे जलाए जाते हैं
आतंक की आग में
विश्वास के सारे मूल्य
आओ मेरे पास
मैं सुनाऊँगा
कैसे सूली चढ़ाया जाता है
अंधों के शहर में सूर्य
और की जाती है पूजा
अँधेरी रात की
आओ मेरे पास
मैं समझाऊँगा
कैसे लुढ़क जाता है
हमारे संविधान का पहिया
संसद जाने वाली सड़क के
बीचों-बीच
आओ मेरे पास
मैं बताऊँगा
कैसे चाट रहे हैं
पुलिस-प्रशासन के दीमक
बापू के अहिंसा-ग्रंथ का
एक-एक पन्ना।
aao mere paas
main bataunga
kaise atak jata hai kanta
machhli ke gale mein
aur chhalni ho jata hai
ek pura samudr
aao mere paas
main dikhaunga
kaise jalaye jate hain
atank ki aag mein
vishvas ke sare mulya
aao mere paas
main sunaunga
kaise suli chaDhaya jata hai
andhon ke shahr mein surya
aur ki jati hai puja
andheri raat ki
aao mere paas
main samjhaunga
kaise luDhak jata hai
hamare sanvidhan ka pahiya
sansad jane vali saDak ke
bichon beech
aao mere paas
main bataunga
kaise chaat rahe hain
pulis prashasan ke dimak
bapu ke ahinsa granth ka
ek ek panna.
aao mere paas
main bataunga
kaise atak jata hai kanta
machhli ke gale mein
aur chhalni ho jata hai
ek pura samudr
aao mere paas
main dikhaunga
kaise jalaye jate hain
atank ki aag mein
vishvas ke sare mulya
aao mere paas
main sunaunga
kaise suli chaDhaya jata hai
andhon ke shahr mein surya
aur ki jati hai puja
andheri raat ki
aao mere paas
main samjhaunga
kaise luDhak jata hai
hamare sanvidhan ka pahiya
sansad jane vali saDak ke
bichon beech
aao mere paas
main bataunga
kaise chaat rahe hain
pulis prashasan ke dimak
bapu ke ahinsa granth ka
ek ek panna.
स्रोत :
रचनाकार : निदा नवाज़
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.