छोड़ो-छाड़ो ये हाय-हाय
आओ हो जाए चाय-वाय
काली आँधी का महा शोर
मत अकनो इसका ओर-छोर
कानों को बहरा कर देगी
ये स्याह वक़्त की सांय-सांय।
सत्ता है, सत्ता पे सत्ते
क्या खोलोगे इनके पत्ते
वेतन-सेतन, बोनस भत्ते
पर व्यक्त कीजिए राय-वाय।
जो माचिस लेकर घूम रहे
हिटलर का फ़ोटो चूम रहे
वे प्रश्नों से चिढ़ जाते हैं
मत पूछो उनसे, काय-काय।
अच्छी क़ीमत पर है बिकना
तो लिखने से ज़्यादा दिखना
घर फूँक तमाशा बहुत हुआ
अब हो जाए कुछ आय-वाय।
भैंसें उसकी, जिसकी लाठी
है नई नहीं ये परिपाटी
दिल को बहलाने को ग़ालिब
है पुलिस कचहरी न्याय-वाय।
chhoDo chhaDo ye haay haay
aao ho jaye chaay vaay
kali andhi ka maha shor
mat akno iska or chhor
kanon ko bahra kar degi
ye syaah vaqt ki sanya sanya.
satta hai, satta pe satte
kya khologe inke patte
vetan setan, bonas bhatte
par vyakt kijiye raay vaay.
jo machis lekar ghoom rahe
hitlar ka foto choom rahe
ve prashnon se chiDh jate hain
mat puchho unse, kaay kaay.
achchhi qimat par hai bikna
to likhne se zyada dikhna
ghar phoonk tamasha bahut hua
ab ho jaye kuch aay vaay.
bhainsen uski, jiski lathi
hai nai nahin ye paripati
dil ko bahlane ko ghalib
hai pulis kachahri nyaay vaay.
chhoDo chhaDo ye haay haay
aao ho jaye chaay vaay
kali andhi ka maha shor
mat akno iska or chhor
kanon ko bahra kar degi
ye syaah vaqt ki sanya sanya.
satta hai, satta pe satte
kya khologe inke patte
vetan setan, bonas bhatte
par vyakt kijiye raay vaay.
jo machis lekar ghoom rahe
hitlar ka foto choom rahe
ve prashnon se chiDh jate hain
mat puchho unse, kaay kaay.
achchhi qimat par hai bikna
to likhne se zyada dikhna
ghar phoonk tamasha bahut hua
ab ho jaye kuch aay vaay.
bhainsen uski, jiski lathi
hai nai nahin ye paripati
dil ko bahlane ko ghalib
hai pulis kachahri nyaay vaay.
स्रोत :
पुस्तक : बया, जनवरी-मार्च, 2024 (पृष्ठ 199)
प्रकाशन : अरुण आदित्य
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.