फुदकने की उम्र से हम साथ थे
सीढ़ियों पर बैठकर चिपचिपाते दिनों में भी;
साँझ के धुँधलके भी
हमारी चप्पलों में कभी नहीं अटके
हमने नींद में भी सपनों पर ढेला कभी नहीं फेंका
हमारे कंधों पर जो टिके
वह हथेलियों के पर्वत ही थे,
हमारे रिश्ते में नमक था भाई
अब हमारे बीच धुँध की एक लंबी सड़क है
आओ भाई!
थोड़ी-सी धूप रखते हैं धुँध की इस सड़क पर
हिला देतें हैं हृदय की मोटी भीत को
अभी इतनी भी लाचार नहीं हुईं है मेरी उँगलियाँ
और ना तुम्हारी कलाई कि
एक धागे के वज़न से मुड़ जाए।
phudakne ki umr se hum saath the
siDhiyon par baithkar chipachipate dinon mein bhee;
aur ankhen chamkili thi hamari
saanjh ke dhundhalake bhi
hamari chapplon mein kabhi nahin atke
hamne neend mein bhi sapnon par Dhela kabhi nahin phenka
hamare kandhon par jo tike
wo hatheliyon ke parvat hi the,
hamare rishte mein namak tha bhai
ab hamare beech dhundh ki ek lambi saDak hai
aao bhai!
thoDi si dhoop rakhte hain dhundh ki is saDak par
hila deten hain hriday ki moti bheet ko
abhi itni bhi lachar nahin huin hai meri ungliyan
aur na tumhari kalai ki
ek dhage ke vazan se muD jaye.
phudakne ki umr se hum saath the
siDhiyon par baithkar chipachipate dinon mein bhee;
aur ankhen chamkili thi hamari
saanjh ke dhundhalake bhi
hamari chapplon mein kabhi nahin atke
hamne neend mein bhi sapnon par Dhela kabhi nahin phenka
hamare kandhon par jo tike
wo hatheliyon ke parvat hi the,
hamare rishte mein namak tha bhai
ab hamare beech dhundh ki ek lambi saDak hai
aao bhai!
thoDi si dhoop rakhte hain dhundh ki is saDak par
hila deten hain hriday ki moti bheet ko
abhi itni bhi lachar nahin huin hai meri ungliyan
aur na tumhari kalai ki
ek dhage ke vazan se muD jaye.
स्रोत :
रचनाकार : ऋतु त्यागी
प्रकाशन : हिंदवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.