किसी फूल
किसी निर्झर
किसी वन्या का गीत
जो गाता है
उससे मेरा विरोध कहाँ है?
मगर पुराने प्रतीक और संदर्भ
जिसकी कल्पना के विषय हैं
अज्ञान व आज्ञान
दुहराव ही जिसकी रचना है
उसमें कोई शोध कहाँ है?
गतिमान इतिहास, धन्य रहो
पुराने उच्चै:श्रवा पर चढ़ना
तुम्हें पसंद है
तो मुझे तुमसे कोई प्रतिशोध कहाँ है?
विरोध कहाँ है?
किंतु
श्रुतिरसिकों की वाहवाही से गर्वित
मंचाधीशों काव्य के
‘पराजित-स्वर’ के अतिरिक्त
दूसरी संज्ञा क्या है? और
जो कोई परंपरा का जंगल उजाड़कर
नई फसल सींचता है
तो तुम्हारे सिर में दर्द क्यों होता है?
आज के युग-सत्य से परिचय करो
हे गीत-बंधु
ज़रा जीवन के यथार्थ को समझो
पहचानो—
यह कुंठित
उलझी-उलझी
संत्रस्त साँस
तुम्हारी है या नहीं?
kisi phool
kisi nirjhar
kisi vanya ka geet
jo gata hai
usse mera virodh kaha hai?
magar purane pratik aur sandarbh
jiski kalpana ke vishay hai
agyan va agyan
duhrav hi jiski rachna hai
usmen koi shodh kahan hai?
gatiman itihas, dhany raho
purane uchchaihashrva par chaDhna
tumhein pasand hai
to mujhe tumse koi pratishodh kahan hai?
virodh kahan hai?
kintu
shrutirasikon ki vahavahi se garvit
manchadhishon kaavy ke
‘parajit svar’ ke atirikt
dusri sanj~naa kya hai? aur
jo koi paranpra ka jangal ujaDkar
nai phasal sinchta hai
to tumhare sir mein dard kyon hota hai?
aaj ke yug saty se parichai karo
he geet bandhu
zara jivan ke yatharth ko samjho
pahchano—
ye kunthit
uljhi uljhi
santrast saans
tumhari hai ya nahin?
kisi phool
kisi nirjhar
kisi vanya ka geet
jo gata hai
usse mera virodh kaha hai?
magar purane pratik aur sandarbh
jiski kalpana ke vishay hai
agyan va agyan
duhrav hi jiski rachna hai
usmen koi shodh kahan hai?
gatiman itihas, dhany raho
purane uchchaihashrva par chaDhna
tumhein pasand hai
to mujhe tumse koi pratishodh kahan hai?
virodh kahan hai?
kintu
shrutirasikon ki vahavahi se garvit
manchadhishon kaavy ke
‘parajit svar’ ke atirikt
dusri sanj~naa kya hai? aur
jo koi paranpra ka jangal ujaDkar
nai phasal sinchta hai
to tumhare sir mein dard kyon hota hai?
aaj ke yug saty se parichai karo
he geet bandhu
zara jivan ke yatharth ko samjho
pahchano—
ye kunthit
uljhi uljhi
santrast saans
tumhari hai ya nahin?
स्रोत :
पुस्तक : मैथिली कविताएँ (पृष्ठ 15)
संपादक : ज्ञानरंजन, कमलाप्रसाद
रचनाकार : रामकृष्ण झा ‘किसुन’
प्रकाशन : पहल प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.