इस शहर में
जिनके मकान हैं वे अगर
उनको मकानों में न रहने दें
जिनके नहीं है
बहुत कम लोग मकानों में रह जाएँगे।
जिनके मकान हैं
वे
मज़बूती से दरवाज़े बंद करते हैं
खिड़की से सतर्क झाँकते हैं
ताले जड़ते हैं
सूई की नोक बराबर भूमि के लिए
लड़ते हैं।
जिनके मकान नहीं हैं
वे
बाहर से झाँकते हैं
दरवाज़ों पर ठिठकते हैं
झिझकते हुए खिड़कियों से
हटते हैं
जिनके मकान नहीं हैं
वे हर मकान के बाहर संदिग्ध हैं
वे हर मकान को अपने मकान की याद में देखते हैं।
is shahr mein
jinke makan hain we agar
unko makanon mein na rahne den
jinke nahin hai
bahut kam log makanon mein rah jayenge
jinke makan hain
we
mazbuti se darwaze band karte hain
khiDki se satark jhankte hain
tale jaDte hain
sui ki nok barabar bhumi ke liye
laDte hain
jinke makan nahin hain
we
bahar se jhankte hain
darwazon par thithakte hain
jhijhakte hue khiDakiyon se
hatte hain
jinke makan nahin hain
we har makan ke bahar sandigdh hain
we har makan ko apne makan ki yaad mein dekhte hain
is shahr mein
jinke makan hain we agar
unko makanon mein na rahne den
jinke nahin hai
bahut kam log makanon mein rah jayenge
jinke makan hain
we
mazbuti se darwaze band karte hain
khiDki se satark jhankte hain
tale jaDte hain
sui ki nok barabar bhumi ke liye
laDte hain
jinke makan nahin hain
we
bahar se jhankte hain
darwazon par thithakte hain
jhijhakte hue khiDakiyon se
hatte hain
jinke makan nahin hain
we har makan ke bahar sandigdh hain
we har makan ko apne makan ki yaad mein dekhte hain
स्रोत :
पुस्तक : हर घर से ग़ायब (पृष्ठ 12)
रचनाकार : नवीन सागर
प्रकाशन : सूर्य प्रकाशन मंदिर
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.