प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा सातवीं के पाठ्यक्रम में शामिल है।
सुहावना मौसम था। द्रौपदी आश्रम के बाहर खड़ी थी। इतने में एक सुंदर फूल हवा में उड़ता हुआ उसके पास आ गिरा। द्रौपदी ने उसे उठा लिया और भीमसेन के पास जाकर बोली—“क्या तुम जाकर ऐसे ही कुछ और फूल ला सकोगे?” यह कहती हुई द्रौपदी हाथ में फूल लिए युधिष्ठिर के पास दौड़ी गई।
द्रौपदी की इच्छा पूरी करने के लिए भीमसेन उस फूल की तलाश में निकल पड़ा। चलते-चलते वह पहाड़ की घाटी में जा पहुँचा, जहाँ केले के पेड़ों का एक विशाल बग़ीचा लगा हुआ था। बग़ीचे के बीच एक बड़ा भारी बंदर रास्ता रोके लेटा हुआ था। बंदर ने भीम की तरफ़ देखकर कहा—“मैं कुछ अस्वस्थ हूँ। इसलिए लेटा हुआ हूँ। ज़रा आँख लगी थी, तो तुमने आकर नींद ख़राब कर दी। मुझे क्यों जगाया तुमने?”
एक बंदर के इस प्रकार मनुष्य जैसा उपदेश देने पर भीमसेन को बड़ा क्रोध आया और बोला—“जानते हो, मैं कौन हूँ? मैं कुरुवंश का वीर, कुंती का बेटा हूँ। मुझे रोको मत! मेरे रास्ते से हट जाओ और मुझे आगे जाने दो।”
बंदर बोला—“देखो भाई, मैं बूढ़ा हूँ। कठिनाई से उठ बैठ सकता हूँ। ठीक है, यदि तुम्हें आगे बढ़ना ही है, तो मुझे लाँघकर चले जाओ।” भीमसेन ने कहा—“किसी जानवर को लाँघना अनुचित कहा गया है। इसी से मैं रुक गया, नहीं तो मैं कभी का तुम्हें एक ही छलाँग में लाँघकर चला गया होता।” बंदर ने कहा—“भाई, मुझे ज़रा बताना कि वह हनुमान कौन था, जो समुद्र को लाँघ गया था।”
भीमसेन ज़रा कड़ककर बोला—“क्या कहा? तुम महावीर हनुमान को नहीं जानते? उठकर रास्ता दे दो, नाहक मृत्यु को न्यौता मत दो।”
बंदर बड़े करुण स्वर में बोला—“हे वीर! शांत हो जाओ! इतना क्रोध न करो। यदि मुझे लाँघना तुम्हें अनुचित लगता हो, तो मेरी इस पूँछ को हटाकर एक ओर कर दो और चले जाओ।”
भीमसेन ने बंदर की पूँछ एक हाथ से पकड़ ली, लेकिन आश्चर्य! भीम ने पूँछ पकड़ तो ली; पर वह उससे ज़रा भी नहीं हिली—उठने की तो कौन कहे! उसे बड़ा ताज्जुब होने लगा कि यह बात क्या है? उसने दोनों हाथों से पूँछ पकड़कर ख़ूब ज़ोर लगाया। किंतु पूँछ वैसी की वैसी ही धरी रही। भीम बड़ा लज्जित हुआ। उसका गर्व चूर हो गया। उसे बड़ा विस्मय होने लगा कि मुझसे अधिक ताक़तवर यह कौन है! भीम के मन में बलिष्ठों के लिए बड़ी श्रद्धा थी। वह नम्र हो गया। बोला—“मुझे क्षमा करें। आप कौन हैं?” हनुमान ने कहा—“हे पांडुवीर! हनुमान मैं ही हूँ।”
“वानर-श्रेष्ठ! मुझसे बढ़कर भाग्यवान और कौन होगा, जो मुझे आपके दर्शन प्राप्त हुए।” कहकर भीमसेन ने हनुमान को दंडवत प्रणाम किया। मारुति ने आशीर्वाद देते हुए कहा—“भीम! युद्ध के समय तुम्हारे भाई अर्जुन के रथ पर उड़ने वाली ध्वजा पर मैं विद्यमान रहूँगा। विजय तुम्हारी ही होगी।” इसके बाद हनुमान ने भीमसेन को पास के झरने में खिले हुए सुगंधित फूल दिखाए। फूलों को देखते ही भीमसेन को द्रौपदी का स्मरण हो आया। उसने जल्दी से फूल तोड़े और वेग से आश्रम की ओर लौट चला।
suhavna mausam tha. draupadi ashram ke bahar khaDi thi. itne mein ek sundar phool hava mein uDta hua uske paas aa gira. draupadi ne use utha liya aur bhimasen ke paas jakar boli—“kya tum jakar aise hi kuch aur phool la sakoge?” ye kahti hui draupadi haath mein phool liye yudhishthir ke paas dauDi gai.
draupadi ki ichchha puri karne ke liye bhimasen us phool ki talash mein nikal paDa. chalte chalte wo pahaD ki ghati mein ja pahuncha, jahan kele ke peDon ka ek vishal baghicha laga hua tha. baghiche ke beech ek baDa bhari bandar rasta roke leta hua tha. bandar ne bheem ki taraf dekhkar kaha—“main kuch asvasth hoon. isliye leta hua hoon. zara ankh lagi thi, to tumne aakar neend kharab kar di. mujhe kyon jagaya tumne?”
ek bandar ke is prakar manushya jaisa updesh dene par bhimasen ko baDa krodh aaya aur bola—“jante ho, main kaun hoon? main kuruvansh ka veer, kunti ka beta hoon. mujhe roko mat! mere raste se hat jao aur mujhe aage jane do. ”
bandar bola—“dekho bhai, main buDha hoon. kathinai se uth baith sakta hoon. theek hai, yadi tumhein aage baDhna hi hai, to mujhe langhakar chale jao. ” bhimasen ne kaha—“kisi janvar ko langhana anuchit kaha gaya hai. isi se main ruk gaya, nahin to main kabhi ka tumhein ek hi chhalang mein langhakar chala gaya hota. ” bandar ne kaha—“bhai, mujhe zara batana ki wo hanuman kaun tha, jo samudr ko laangh gaya tha. ”
bhimasen zara kaDakkar bola—“kya kaha? tum mahavir hanuman ko nahin jante? uthkar rasta de do, nahak mrityu ko nyauta mat do. ”
bandar baDe karun svar mein bola—“he veer! shaant ho jao! itna krodh na karo. yadi mujhe langhana tumhein anuchit lagta ho, to meri is poonchh ko hatakar ek or kar do aur chale jao. ”
bhimasen ne bandar ki poonchh ek haath se pakaD li, lekin ashcharya! bheem ne poonchh pakaD to lee; par wo usse zara bhi nahin hili uthne ki to kaun kahe! use baDa tajjub hone laga ki ye baat kya hai? usne donon hathon se poonchh pakaDkar khoob zor lagaya. kintu poonchh vaisi ki vaisi hi dhari rahi. bheem baDa lajjit hua. uska garv choor ho gaya. use baDa vismay hone laga ki mujhse adhik taqatvar ye kaun hai! bheem ke man mein balishthon ke liye baDi shraddha thi. wo namr ho gaya. bola—“mujhe kshama karen. aap kaun hain?” hanuman ne kaha—“he panDuvir! hanuman main hi hoon. ”
“vanar shreshth! mujhse baDhkar bhagyavan aur kaun hoga, jo mujhe aapke darshan praapt hue. ” kahkar bhimasen ne hanuman ko danDvat prnaam kiya. maruti ne ashirvad dete hue kaha—“bhim! yuddh ke samay tumhare bhai arjun ke rath par uDnevali dhvaja par main vidyaman rahunga. vijay tumhari hi hogi. ” iske baad hanuman ne bhimasen ko paas ke jharne mein khile hue sugandhit phool dikhaye. phulon ko dekhte hi bhimasen ko draupadi ka smran ho aaya. usne jaldi se phool toDe aur veg se ashram ki or laut chala.

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted your 5 free content pages. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.