प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा सातवीं के पाठ्यक्रम में शामिल है।
एक दिन युधिष्ठिर ने अपने भाइयों से कहा—“भाइयो! युद्ध की संभावना ही मिटा देने के उद्देश्य से मैं यह शपथ लेता हूँ कि आज से तेरह बरस तक मैं अपने भाइयों या किसी और बंधु को बुरा-भला नहीं कहूँगा। सदा अपने भाई-बंधुओं की इच्छा पर ही चलूँगा। मैं ऐसा कुछ नहीं करूँगा, जिससे आपस में मनमुटाव होने का डर हो, क्योंकि मनमुटाव के कारण ही झगड़े होते हैं। इसलिए मन से क्रोध को एकबारगी निकाल दूँगा। दुर्योधन और दूसरे कौरवों की बात कभी न टालूँगा। हमेशा उनकी इच्छानुसार काम करूँगा।”
युधिष्ठिर की बातें उनके भाइयों को भी ठीक लगीं। वे भी इसी निश्चय पर पहुँचे कि झगड़े-फ़साद का हमें कारण नहीं बनना चाहिए। उधर युधिष्ठिर चिंतित हो रहे थे कि कहीं कोई लड़ाई-झगड़ा न हो जाए और इधर राजसूय यज्ञ का ठाट-बाट तथा पांडवों की यश-समृद्धि का स्मरण ही दुर्योधन के मन को खाए जा रहा था। वह ईर्ष्या की जलन से बेचैन हो रहा था। दुर्योधन ने यह भी देखा कि कितने ही देशों के राजा पांडवों के परम मित्र बने हैं। इस सबके स्मरण मात्र से उसका दुख और भी असह्य हो उठा। पांडवों के सौभाग्य की याद करके उसकी जलन बढ़ने लगती थी। अपने महल के कोने में इसी भाँति चिंतित और उदास भाव से वह एक रोज़ खड़ा हुआ था कि उसे यह भी पता न लगा कि उसकी बग़ल में उसका मामा शकुनि आ खड़ा हुआ है।
“बेटा! यों चिंतित और उदास क्यों खड़े हो? कौन सा दुख तुमको सता रहा है?” शकुनि ने पूछा। दुर्योधन लंबी साँस लेते हुए बोला—“मामा, चारों भाइयों समेत युधिष्ठिर ठाट-बाट से राज कर रहा है। यह सब इन आँखों से देखने पर भी मैं कैसे शोक न करूँ? मेरा तो अब जीना ही व्यर्थ मालूम होता है!”
शकुनि दुर्योधन को सांत्वना देता हुआ बोला—“बेटा दुर्योधन! इस तरह मन छोटा क्यों करते हो? आख़िर पांडव तुम्हारे भाई ही तो हैं। उनके सौभाग्य पर तुम्हें जलन नहीं होनी चाहिए। न्यायपूर्वक जो राज्य उनको प्राप्त हुआ है, उसी का तो उपभोग वे कर रहे हैं। पांडवों ने किसी का कुछ बिगाड़ा नहीं है। जिस पर उनका अधिकार था, वही उन्हें मिला है। अपनी शक्ति से प्रयत्न करके यदि उन्होंने अपना राज्य तथा सत्ता बढ़ा ली है, तो तुम जी छोटा क्यों करते हो? और फिर पांडवों की शक्ति और सौभाग्य से तुम्हारा बिगड़ता क्या है? तुम्हें कमी किस बात की है? द्रोणाचार्य, अश्वत्थामा तथा कर्ण जैसे महावीर तुम्हारे पक्ष में हैं। यही नहीं, बल्कि मैं भीष्म, कृपाचार्य, जयद्रथ सोमदत्त सब तुम्हारे साथ हैं। इन साथियों की सहायता से तुम सारे संसार पर विजय पा सकते हो। फिर दुख क्यों करते हो?”
यह सुनकर दुर्योधन बोला—“जब ऐसी बात है, तो मामा जी, हम इंद्रप्रस्थ पर चढ़ाई ही क्यों न कर दें?”
शकुनि ने कहा—“युद्ध की तो बात ही न करो। वह ख़तरनाक काम है। तुम पांडवों पर विजय पाना चाहते हो, तो युद्ध के बजाए चतुराई से काम लो। मैं तुमको ऐसा उपाय बता सकता हूँ, जिससे बग़ैर लड़ाई के ही युधिष्ठिर पर सहज में विजय पाई जा सके।”
दुर्योधन की आँखें आशा से चमक उठीं। बड़ी उत्सुकता के साथ पूछा, “मामा जी! आप ऐसा उपाय जानते हैं?”
शकुनि ने कहा—“दुर्योधन, युधिष्ठिर को चौसर के खेल का बड़ा शौक़ है। पर उसे खेलना नहीं आता है। हम उसे खेलने के लिए न्यौता दें, तो युधिष्ठिर अवश्य मान जाएगा। तुम तो जानते ही हो कि मैं मँजा हुआ खिलाड़ी हूँ। तुम्हारी ओर से मैं खेलूँगा और युधिष्ठिर को हराकर उसका सारा राज्य और ऐश्वर्य बिना युद्ध के आसानी से छीनकर तुम्हारे हवाले कर दूँगा।”
इसके बाद दुर्योधन और शकुनि धृतराष्ट्र के पास गए। शकुनि ने बात छेड़ी—“राजन्! देखिए तो आपका बेटा दुर्योधन शोक और चिंता के कारण पीला-सा पड़ गया है।”
अंधे और बूढ़े धृतराष्ट्र को अपने बेटे पर अपार स्नेह था। शकुनि की बातों से वह सचमुच बड़े चितिंत हो गए। अपने बेटे को उन्होंने छाती से लगा लिया और बोले—“बेटा! मुझे तो कुछ समझ में ही नहीं आता कि तुम्हें किस बात का दुख हो सकता है। तुम्हारे पास ऐश्वर्य की कमी नहीं है। सारा संसार तुम्हारी आज्ञा पर चल रहा है। फिर तुम्हें चिंता काहे की?”
लेकिन शकुनि ने धृतराष्ट्र को सलाह दी कि चौसर के खेल के लिए पांडवों को बुलाया जाए।
दोनों के इस प्रकार आग्रह करने पर भी धृतराष्ट्र ने तुरंत हाँ नहीं की। वह बोले—“मुझे यह उपाय ठीक नहीं जँच रहा है। मैं विदुर से भी तो सलाह कर लूँ। वह बड़ा समझदार है। मैं हमेशा से उसका कहा मानता आया हूँ। उससे सलाह कर लेने के बाद ही कुछ तय करना ठीक होगा।” पर दुर्योधन को विदुर से सलाह करने की बात पसंद नहीं आई।
धृतराष्ट्र बोले—“जुए का खेल वैर-विरोध की जड़ होता है। इसलिए बेटा, मेरी तो यह राय है कि तुम्हारा यह विचार ठीक नहीं है। इसे छोड़ दो।”
दुर्योधन अपने हठ पर दृढ़ रहता हुआ बोला—“चौसर का खेल कोई हमने तो ईजाद किया नहीं है। यह तो हमारे पूर्वजों का ही चलाया हुआ है।” दुर्योधन के इस तरह आग्रह करने पर आख़िर धृतराष्ट्र ने घुटने टेक दिए। बेटे का आग्रह मानकर धृतराष्ट्र ने चौसर खेलने के लिए अनुमति दे दी और सभा मंडप बनाने की भी आज्ञा दे दी, परंतु विदुर से भी उन्होंने इस बारे में गुपचुप सलाह की।
विदुर बोले—“राजन्, सारे वंश का इससे नाश हो जाएगा। इसके कारण हमारे कुल के लोगों में आपसी मनमुटाव और झगड़े-फ़साद होंगे। इसकी भारी विपदा हम पर आएगी।”
धृतराष्ट्र ने कहा—“भाई विदुर! मुझे खेल का भय नहीं है। लेकिन हम क्या कर सकते हैं? सो तुम ही युधिष्ठिर के पास जाओ और मेरी तरफ़ से खेल के लिए न्यौता देकर बुला लाओ।”
अपने बेटे पर उनका असीम स्नेह उनकी कमज़ोरी थी और यही कारण था कि उन्होंने बेटे की बात मान ली।
ek din yudhishthir ne apne bhaiyon se kaha—“bhaiyo! yuddh ki sambhavna hi mita dene ke uddeshya se main ye shapath leta hoon ki aaj se terah baras tak main apne bhaiyon ya kisi aur bandhu ko bura bhala nahin kahunga. sada apne bhai bandhuon ki ichchha par hi chalunga. main aisa kuch nahin karunga, jisse aapas mein manmutav hone ka Dar ho, kyonki manmutav ke karan hi jhagDe hote hain. isliye man se krodh ko ekbargi nikal dunga. duryodhan aur dusre kaurvon ki baat kabhi na talunga. hamesha unki ichchhanusar kaam karunga. ”
yudhishthir ki baten unke bhaiyon ko bhi theek lagin. ve bhi isi nishchay par pahunche ki jhagDe fasad ka hamein karan nahin banna chahiye. udhar yudhishthir chintit ho rahe the ki kahin koi laDai jhagDa na ho jaye aur idhar rajasuy yagya ka thaat baat tatha panDvon ki yash samriddhi ka smran hi duryodhan ke man ko khaye ja raha tha. wo iirshya ki jalan se bechain ho raha tha. duryodhan ne ye bhi dekha ki kitne hi deshon ke raja panDvon ke param mitr bane hain. is sabke smran maatr se uska dukh aur bhi asahya ho utha. panDvon ke saubhagya ki yaad karke uski jalan baDhne lagti thi. apne mahl ke kone mein isi bhanti chintit aur udaas bhaav se wo ek roz khaDa hua tha ki use ye bhi pata na laga ki uski baghal mein uska mama shakuni aa khaDa hua hai.
“beta! yon chintit aur udaas kyon khaDe ho? kaun sa dukh tumko sata raha hai?” shakuni ne puchha. duryodhan lambi saans lete hue bola—“mama, charon bhaiyon samet yudhishthir thaat baat se raaj kar raha hai. ye sab in ankhon se dekhne par bhi main kaise shok na karun? mera to ab jina hi vyarth malum hota hai!”
shakuni duryodhan ko santvna deta hua bola—“beta duryodhan! is tarah man chhota kyon karte ho? akhir panDav tumhare bhai hi to hain. unke saubhagya par tumhein jalan nahin honi chahiye. nyaypurvak jo rajya unko praapt hua hai, usi ka to upbhog ve kar rahe hain. panDvon ne kisi ka kuch bigaDa nahin hai. jis par unka adhikar tha, vahi unhen mila hai. apni shakti se prayatn karke yadi unhonne apna rajya tatha satta baDha li hai, to tum ji chhota kyon karte ho? aur phir panDvon ki shakti aur saubhagya se tumhara bigaDta kya hai? tumhein kami kis baat ki hai? dronacharya, ashvatthama tatha karn jaise mahavir tumhare paksh mein hain. yahi nahin, balki main bheeshm, kripacharya, jayadrath somdatt sab tumhare saath hain. in sathiyon ki sahayata se tum sare sansar par vijay pa sakte ho. phir dukh kyon karte ho?”
ye sunkar duryodhan bola—“jab aisi baat hai, to mama ji, hum indraprastha par chaDhai hi kyon na kar den?”
shakuni ne kaha—“yuddh ki to baat hi na karo. wo khatarnak kaam hai. tum panDvon par vijay pana chahte ho, to yuddh ke bajaye chaturai se kaam lo. main tumko aisa upaay bata sakta hoon, jisse bagair laDai ke hi yudhishthir par sahj mein vijay pai ja sake. ”
duryodhan ki ankhen aasha se chamak uthin. baDi utsukta ke saath puchha, “mama ji ! aap aisa upaay jante hain?”
shakuni ne kaha—“duryodhan, yudhishthir ko chausar ke khel ka baDa shauk hai. par use khelna nahin aata hai. hum use khelne ke liye nyauta den, to yudhishthir avashya maan jayega. tum to jante hi ho ki main manja hua khilaDi hoon. tumhari or se main khelunga aur yudhishthir ko harakar uska sara rajya aur aishvarya bina yuddh ke asani se chhinkar tumhare havale kar dunga. ”
iske baad duryodhan aur shakuni dhritarashtr paas ge. shakuni ne baat chheDi—“rajan! dekhiye to aapka beta duryodhan shok aur chinta ke karan pila sa paD gaya hai. ”
andhe aur buDhe dhritarashtr ko apne bete par apar sneh tha. shakuni ki baton se wo sachmuch baDe chitint ho ge. apne bete ko unhonne chhati se laga liya aur bole—“beta! mujhe to kuch samajh mein hi nahin aata ki tumhein kis baat ka dukh ho sakta hai. tumhare paas aishvarya ki kami nahin hai. sara sansar tumhari aagya par chal raha hai. phir tumhein chinta kahe kee?”
lekin shakuni ne dhritarashtr ko salah di ki chausar ke khel ke liye panDvon ko bulaya jaye.
donon ke is prakar agrah karne par bhi dhritarashtr ne turant haan nahin ki. wo bole—“mujhe ye upaay theek nahin janch raha hai. main vidur se bhi to salah kar loon. wo baDa samajhdar hai. main hamesha se uska kaha manata aaya hoon. usse salah kar lene ke baad hi kuch tay karna theek hoga. ” par duryodhan ko vidur se salah karne ki baat pasand nahin aai.
dhritarashtr bole—“jue ka khel vair virodh ki jaD hota hai. isliye beta, meri to ye raay hai ki tumhara ye vichar theek nahin hai. ise chhoD do. ”
duryodhan apne hath par driDh rahta hua bola—“chausar ka khel koi hamne to iijad kiya nahin hai. ye to hamare purvjon ka hi chalaya hua hai. ” duryodhan ke is tarah agrah karne par akhir dhritarashtr ne ghutne tek diye. bete ka agrah mankar dhritarashtr ne chausar khelne ke liye anumti de di aur sabha manDap banane ki ke bhi aagya de di, parantu vidur se bhi unhonne is bare mein gupchup salah ki.
vidur bole—“rajan, sare vansh ka isse naash ho jayega. iske karan hamare kul ke logon mein aapsi manmutav aur jhagDe fasad honge. iski bhari vipda hum par ayegi. ”
dhritarashtr ne kaha—“bhai vidur! mujhe khel ka bhay nahin hai. lekin hum kya kar sakte hain? so tum hi yudhishthir ke paas jao aur meri taraf se khel ke liye nyauta dekar bula lao. ”
apne bete par unka asim sneh unki kamzori thi aur yahi karan tha ki unhonne bete ki baat maan li.

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.