प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा सातवीं के पाठ्यक्रम में शामिल है।
जिस समय पांडव एकचक्रा नगरी में ब्राह्मणों के वेष में जीवन बिता रहे थे, उन्हीं दिनों पांचाल-नरेश की कन्या द्रौपदी के स्वयंवर की तैयारियाँ होने लगीं। एकचक्रा नगरी के ब्राह्मणों के झुंड पांचाल देश के लिए रवाना हुए। पांडव भी उनके साथ ही हो लिए। पाँचों भाई माता कुंती के साथ किसी कुम्हार की झोंपड़ी में आ टिके पांचाल देश में भी पांडव ब्राह्मण-वेश ही धारण किए रहे। इस कारण कोई उनको पहचान न सका। स्वयंवर-मंडप में एक वृहदाकार धनुष रखा हुआ था, जिसकी डोरी तारों की बनी हुई थी। ऊपर काफ़ी ऊँचाई पर एक सोने की मछली टँगी हुई थी। उसके नीचे एक चमकदार यंत्र बड़े वेग से घूम रहा था। राजा द्रुपद ने घोषणा की थी कि जो राजकुमार पानी में प्रतिबिंब देखकर उस भारी धनुष से तीर चलाकर ऊपर टंगे हुए निशाने (मछली) को गिरा देगा, उसी को द्रौपदी वरमाला पहनाएगी।
इस स्वयंवर के लिए दूर-दूर से अनेक वीर आए हुए थे। मंडप में सैकड़ों राजा इकट्ठे हुए थे जिनमें धृतराष्ट्र के सौ बेटे, अंग-नरेश कर्ण, श्रीकृष्ण, शिशुपाल, जरासंध आदि भी शामिल हुए थे। दर्शकों की भी भारी भीड़ थी। राजकुमार धृष्टद्युम्न घोड़े पर सवार होकर आगे आया। उसके पीछे हाथी पर सवार द्रौपदी आई। हाथ में फूलों का हार लिए हुए राजकन्या हाथी से उतरी और सभा में पदार्पण किया।
राजकुमार धृष्टद्युम्न अपनी बहन का हाथ पकड़कर उसे मंडप के बीच में ले गया।
इसके बाद एक-एक करके राजकुमार उठते और धनुष पर डोरी चढ़ाते हारते और अपमानित होकर लौट जाते। कितने ही सुप्रसिद्ध वीरों को इस तरह मुँह की खानी पड़ी। शिशुपाल, जरासंध, शल्य व दुर्योधन जैसे पराक्रमी राजकुमार तक असफल हो गए। जब कर्ण की बारी आई तो सभा में एक लहर सी दौड़ गई। सबने सोचा, अंग नरेश ज़रूर सफल हो जाएँगे। कर्ण ने धनुष उठाकर खड़ा कर दिया और तानकर प्रत्यंचा भी चढ़ानी शुरू कर दी। डोरी के चढ़ाने में अभी बालभर की ही कसर रह गई थी कि इतने में धनुष का डंडा उसके हाथ से छूट गया तथा उछलकर उसके मुँह पर लगा। अपनी चोट सहलाता हुआ कर्ण अपनी जगह पर जा बैठा। इतने में उपस्थित ब्राह्मणों के बीच से एक तरुण उठ खड़ा हुआ। ब्राह्मणों की मंडली में ब्राह्मण वेषधारी अर्जुन को यों खड़ा होते देखकर सभा में बड़ी हलचल मच गई। लोगों में तरह-तरह की चर्चा होने लगी। तब अर्जुन ने धनुष हाथ में लिया और उस पर डोरी चढ़ा दी। उसने धनुष पर तीर चढ़ाया और आश्चर्यचकित लोगों को मुस्कुराते हुए देखा। लोग उसे देख रहे थे। उसने और देरी न करके तुरंत एक के बाद एक पाँच बाण उस घूमते हुए चक्र में मारे और हज़ारों लोगों के देखते-देखते निशाना टूटकर नीचे गिर पड़ा। सभा में कोलाहल मच गया। बाजे बज उठे।
उस समय राजकुमारी द्रौपदी की शोभा कुछ अनूठी हो गई। वह आगे बढ़ी और सकुचाते हुए लेकिन प्रसन्नतापूर्वक ब्राह्मण-वेष में खड़े अर्जुन को वरमाला पहना दी माता को यह समाचार सुनाने के लिए युधिष्ठिर, नकुल और सहदेव तीनों भाई मंडप से उठकर चले गए। परंतु भीम नहीं गया। उसे भय था कि निराश राजकुमार कहीं अर्जुन को कुछ कर न बैठें। भीमसेन का अनुमान ठीक ही निकला। राजकुमारों में बड़ी हलचल मच गई। उन्होंने शोर मचाया। राजकुमारों का जोश बढ़ता गया। ऐसा प्रतीत हुआ कि भारी विप्लव मच जाएगा। यह हाल देखकर श्रीकृष्ण, बलराम और कुछ राजा विप्लव मचाने वाले राजकुमारों को समझाने लगे। वे समझाते रहे और इस बीच भीम और अर्जुन द्रौपदी को साथ लेकर कुम्हार की कुटिया की ओर चल दिए।
जब भीम और अर्जुन द्रौपदी को साथ लेकर सभा से जाने लगे, तो द्रुपद का पुत्र धृष्टद्युम्न चुपके से उनके पीछे हो लिया। कुम्हार की कुटिया में उसने जो देखा, उससे उसके आश्चर्य की सीमा न रही। वह तुरंत लौट आया और अपने पिता से बोला—“पिता जी, मुझे तो ऐसा लगता है कि ये लोग कहीं पांडव न हों! बहन द्रौपदी उस युवक की मृगछाला पकड़े जब जाने लगी, तो मैं भी उनके पीछे हो लिया। वे एक कुम्हार की झोंपड़ी में जा पहुँचे। वहाँ अग्नि-शिखा की भाँति एक तेजस्वी देवी बैठी हुईं थीं। वहाँ जो बातें हुईं, उनसे मुझे विश्वास हो गया कि वह कुंती देवी ही होनी चाहिए।”
तब राजा द्रुपद के बुलावा भेजने पर पाँचों भाई माता कुंती और द्रौपदी को साथ लेकर राजभवन पहुँचे। युधिष्ठिर ने राजा को अपना सही परिचय दे दिया। यह जानकर कि ये पांडव हैं, राजा द्रुपद फूले न समाए। उनकी इच्छा पूरी हुई। महाबली अर्जुन मेरी बेटी के पति हो गए हैं, तो फिर द्रोणाचार्य की शत्रुता की मुझे चिंता नहीं रही यह विचारकर उन्होंने संतोष की साँस ली माँ की आज्ञा और सबकी सम्मति से द्रौपदी के साथ पाँचों पांडवों का विवाह हो गया।
jis samay panDav ekchakra nagri mein brahmnon ke vesh mein jivan bita rahe the, unhin dinon panchal naresh ki kanya draupadi ke svyanvar ki taiyariyan hone lagin. ekchakra nagri ke brahmnon ke jhunD panchal desh ke liye ravana hue. panDav bhi unke saath hi ho liye. panchon bhai mata kunti ke saath kisi kumhar ki jhopDi mein aa tike panchal desh mein bhi panDav brahman vesh hi dharan kiye rahe. is karan koi unko pahchan na saka. svyanvar manDap mein ek vrihdakar dhanush rakha hua tha, jiski Dori taron ki bani hui thi. uupar kafi uunchai par ek sone ki machhli tangi hui thi. uske niche ek chamakdar yantr baDe veg se ghoom raha tha. raja drupad ne ghoshna ki thi ki jo rajakumar pani mein pratibimb dekhkar us bhari dhanush se teer chalakar uupar tange hue nishane (machhli) ko gira dega, usi ko draupadi varmala pahnayegi.
is svyanvar ke liye door door se anek veer aaye hue the. manDap mein saikDon raja ikatthe hue the jinmen dhritarashtr ke sau bete, ang naresh karn, shrikrishn, shishupal, jarasandh aadi bhi shamil hue the. darshkon ki bhi bhari bheeD thi. rajakumar dhrishtadyumn ghoDe par savar hokar aage aaya. uske pichhe hathi par savar draupadi aai. haath mein phulon ka haar liye hue rajkanya hathi se utri aur sabha mein padarpan kiya.
rajakumar dhrishtadyumn apni bahan ka haath pakaDkar use manDap ke beech mein le gaya.
iske baad ek ek karke rajakumar uthte aur dhanush par Dori chaDhate harte aur apmanit hokar laut jate. kitne hi suprasiddh viron ko is tarah munh ki khani paDi. shishupal, jarasandh, shalya va duryodhan jaise parakrami rajakumar tak asfal ho ge. jab karn ki bari aai to sabha mein ek lahr si dauD gai. sabne socha, ang naresh zarur safal ho jayenge. karn ne dhanush uthakar khaDa kar diya aur tankar pratyancha bhi chaDhani shuru kar di. Dori ke chaDhane mein abhi balbhar ki hi kasar rah gai thi ki itne mein dhanush ka DanDa uske haath se chhoot gaya tatha uchhalkar uske munh par laga. apni chot sahlata hua karn apni jagah par ja baitha. itne mein upasthit brahmnon ke beech se ek tarun uth khaDa hua. brahmnon ki manDli mein brahman veshadhari arjun ko yon khaDa hote dekhkar sabha mein baDi halchal mach gai. logon mein tarah tarah ki charcha hone lagi. tab arjun ne dhanush haath mein liya aur us par Dori chaDha di. usne dhanush par teer chaDhaya aur ashcharyachkit logon ko musakrate hue dekha. log use dekh rahe the. usne aur deri na karke turant ek ke baad ek paanch baan us ghumte hue chakr mein mare aur hajaron logon ke dekhte dekhte nishana tutkar niche gir paDa. sabha mein kolahal mach gaya. baje baj uthe.
us samay rajakumari draupadi ki shobha kuch anuthi ho gai. wo aage baDhi aur sakuchate hue lekin prasannatapurvak brahman vesh mein khaDe arjun ko varmala pahna di mata ko ye samachar sunane ke liye yudhishthir, nakul aur sahdev tinon bhai manDap se uthkar chale ge. parantu bheem nahin gaya. use bhay tha ki nirash rajakumar kahin arjun ko kuch kar na baithen. bhimasen ka anuman theek hi nikla. rajakumaron mein baDi halchal mach gai. unhonne shor machaya. rajakumaron ka josh baDhta gaya. aisa pratit hua ki bhari viplav mach jayega. ye haal dekhkar shrikrishn, balram aur kuch raja viplav machanevale rajakumaron ko samjhane lage. ve samjhate rahe aur is beech bheem aur arjun draupadi ko saath lekar kumhar ki kutiya ki or chal diye.
jab bheem aur arjun draupadi ko saath lekar sabha se jane lage, to drupad ka putr dhrishtadyumn chupke se unke pichhe ho liya. kumhar ki kutiya mein usne jo dekha, usse uske ashcharya ki sima na rahi. wo turant laut aaya aur apne pita se bola—“pita ji, mujhe to aisa lagta hai ki ye log kahin panDav na hon! bahan draupadi us yuvak ki mrigachhala pakDe jab jane lagi, to main bhi unke pichhe ho liya. ve ek kumhar ki jhopDi mein ja pahunche. vahan agni shikha ki bhanti ek tejasvi devi baithi huin theen. vahan jo baten huin, unse mujhe vishvas ho gaya ki wo kunti devi hi honi chahiye. ”
tab raja drupad ke bulava bhejne par panchon bhai mata kunti aur draupadi ko saath lekar rajabhvan pahunche. yudhishthir ne raja ko apna sahi parichay de diya. ye jankar ki ye panDav hain, raja drupad phule na samaye. unki ichchha puri hui. mahabali arjun meri beti ke pati ho ge hain, to phir dronacharya ki shatruta ki mujhe chinta nahin rahi ye vicharkar unhonne santosh ki saans li maan ki aagya aur sabki sammati se draupadi ke saath panchon panDvon ka vivah ho gaya.

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.