स्वप्न की रात है, सत्य का प्रात क्षण!
हासमय गान हैं,
मुग्ध मुसकान है,
भीगते जा रहे
किंतु मन-प्राण हैं,
प्राण मैं स्नेह-सर का कुमुद हूँ, मुझे
हासमय नींद है, अश्रुमय जागरण!
रंगमय कल्पना,
ज्योतिमय अर्चना,
छल रही प्राण को
पर जतन-साधना,
प्रिय, मिलन-रात का दीप मैं हूँ, मुझे
है सुधामय तिमिर है गरलमय किरण!
चाँदनी पास है,
तृप्त हर साँस है,
बढ़ गई किंतु
अनजान में प्यास है,
प्राण के सिंधु का ज्वार मैं हूँ, मुझे
शूलमय है धरा, फूलमय है गगन!
आँकता रंग भर
मैं तुम्हें प्राण पर,
अश्रु में किंतु ये
चित्र जाते बिखर,
दूर तुमसे हुआ यक्ष मैं हूँ, मुझे
शापमय याद, वरदानमय विस्मरण।
स्वप्न की रात है, सत्य के प्रात क्षण!
svapn ki raat hai, satya ka praat kshan!
hasmay gaan hain,
mugdh muskan hai,
bhigte ja rahe
kintu man praan hain,
praan main sneh sar ka kumud hoon, mujhe
hasmay neend hai, ashrumay jagran!
rangmay kalpana,
jyotimay archna,
chhal rahi praan ko
par jatan sadhana,
priy, milan raat ka deep main hoon, mujhe
hai sudhamay timir hai garalmay kiran!
chandni paas hai,
tript har saans hai,
baDh gai kintu
anjan mein pyaas hai,
praan ke sindhu ka jvaar main hoon, mujhe
shulmay hai dhara, phulmay hai gagan!
ankta rang bhar
main tumhein praan par,
ashru mein kintu ye
chitr jate bikhar,
door tumse hua yaksh main hoon, mujhe
shapmay yaad, vardanmay vismran.
svapn ki raat hai, satya ke praat kshan!
svapn ki raat hai, satya ka praat kshan!
hasmay gaan hain,
mugdh muskan hai,
bhigte ja rahe
kintu man praan hain,
praan main sneh sar ka kumud hoon, mujhe
hasmay neend hai, ashrumay jagran!
rangmay kalpana,
jyotimay archna,
chhal rahi praan ko
par jatan sadhana,
priy, milan raat ka deep main hoon, mujhe
hai sudhamay timir hai garalmay kiran!
chandni paas hai,
tript har saans hai,
baDh gai kintu
anjan mein pyaas hai,
praan ke sindhu ka jvaar main hoon, mujhe
shulmay hai dhara, phulmay hai gagan!
ankta rang bhar
main tumhein praan par,
ashru mein kintu ye
chitr jate bikhar,
door tumse hua yaksh main hoon, mujhe
shapmay yaad, vardanmay vismran.
svapn ki raat hai, satya ke praat kshan!
स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 1)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.