प्रात बनकर मुस्कुराती जा रही हो!
स्वप्न मेरे सच बनाती जा रही हो!
बादलों से तृप्ति की जब आश त्यागी,
बेसुधी में पत्थरों से भीख माँगी,
मिल सकीं दो बूँद प्यासे को नहीं पर
अश्रु पीकर सो गई आँखें अभागी,
पर खुली जो आँख तो क्या देखता हूँ,
उर्वशी-सी स्वप्न-सागर से निकलकर
तुम सुधा मुझको पिलाती जा रही हो!
तृप्ति-धारा में डुबाती जा रही हो!
प्रेम का था देवता बनने चला मैं,
पर गया संसार से कितना छला मैं?
आरती अपनी सँजो निज अश्रु से ही
एक जड़ पाषाण-प्रतिमा-सा गला मैं,
पर हुआ जब चेत तो क्या देखता हूँ,
तुम पुजारिन बन खड़ीं मेरे भवन में
दीप साँसों के जलाती जा रही हो!
फूल प्राणों के चढ़ाती जा रही हो!
शक्ति, विथकित पाँव की जब डगमगाई,
ठीकरों ने भी मुझे ठोकर लगाई,
पाश में विषधर विषम-तम के बँधा फिर
काल ने पहचान जीवन की मिटाई,
पर हुआ जब होश तो क्या देखता हूँ,
तुम उषा की अप्सरा बनकर गगन में
रात के परदे उठाती जा रही हो!
राह में कुमकुम बिछाती जा रही हो!
दूर मुझसे विश्व का रंगीन मेला
था, बना जीवन अमा की मौन वेला,
छूटकर रसमय धरा की तान लय से
खो गया नभ-बीच मेरा स्वर अकेला,
पर हुआ जब ध्यान तो क्या देखता हूँ,
तुम खड़ीं साकार पूनम-रागिनी बन
गीत मेरे साथ गाती जा रही हो!
सृष्टि-स्वर में स्वर मिलाती जा रही हो!
स्वप्न मेरे सच बनाती जा रही हो!
praat bankar musakrati ja rahi ho!
svapn mere sach banati ja rahi ho!
badlon se tripti ki jab aash tyagi,
besudhi mein patthron se bheekh mangi,
mil sakin do boond pyase ko nahin par
ashru pikar so gai ankhen abhagi,
par khuli jo ankh to kya dekhta hoon,
urvashi si svapn sagar se nikalkar
tum sudha mujhko pilati ja rahi ho!
tripti dhara mein Dubati ja rahi ho!
prem ka tha devta banne chala main,
par gaya sansar se kitna chhala main?
aarti apni sanjo nij ashru se hi
ek jaD pashan pratima sa gala main,
par hua jab chet to kya dekhta hoon,
tum pujarin ban khaDin mere bhavan men
deep sanson ke jalati ja rahi ho!
phool pranon ke chaDhati ja rahi ho!
shakti, vithkit paanv ki jab Dagmagai,
thikron ne bhi mujhe thokar lagai,
paash mein vishadhar visham tam ke bandha phir
kaal ne pahchan jivan ki mitai,
par hua jab hosh to kya dekhta hoon,
tum usha ki apsara bankar gagan mein
raat ke parde uthati ja rahi ho!
raah mein kumkum bichhati ja rahi ho!
door mujhse vishv ka rangin mela
tha, bana jivan ama ki maun vela,
chhutkar rasmay dhara ki taan lay se
kho gaya nabh beech mera svar akela,
par hua jab dhyaan to kya dekhta hoon,
tum khaDin sakar punam ragini ban
geet mere saath gati ja rahi ho!
srishti svar mein svar milati ja rahi ho!
svapn mere sach banati ja rahi ho!
praat bankar musakrati ja rahi ho!
svapn mere sach banati ja rahi ho!
badlon se tripti ki jab aash tyagi,
besudhi mein patthron se bheekh mangi,
mil sakin do boond pyase ko nahin par
ashru pikar so gai ankhen abhagi,
par khuli jo ankh to kya dekhta hoon,
urvashi si svapn sagar se nikalkar
tum sudha mujhko pilati ja rahi ho!
tripti dhara mein Dubati ja rahi ho!
prem ka tha devta banne chala main,
par gaya sansar se kitna chhala main?
aarti apni sanjo nij ashru se hi
ek jaD pashan pratima sa gala main,
par hua jab chet to kya dekhta hoon,
tum pujarin ban khaDin mere bhavan men
deep sanson ke jalati ja rahi ho!
phool pranon ke chaDhati ja rahi ho!
shakti, vithkit paanv ki jab Dagmagai,
thikron ne bhi mujhe thokar lagai,
paash mein vishadhar visham tam ke bandha phir
kaal ne pahchan jivan ki mitai,
par hua jab hosh to kya dekhta hoon,
tum usha ki apsara bankar gagan mein
raat ke parde uthati ja rahi ho!
raah mein kumkum bichhati ja rahi ho!
door mujhse vishv ka rangin mela
tha, bana jivan ama ki maun vela,
chhutkar rasmay dhara ki taan lay se
kho gaya nabh beech mera svar akela,
par hua jab dhyaan to kya dekhta hoon,
tum khaDin sakar punam ragini ban
geet mere saath gati ja rahi ho!
srishti svar mein svar milati ja rahi ho!
svapn mere sach banati ja rahi ho!
स्रोत :
पुस्तक : दिवालोक (पृष्ठ 29)
रचनाकार : शंभुनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.