सुखिया के मन में अब एक ही उदासी है।
उसके घर प्रभु ने एक बिटिया तराशी है॥
घर में भयावह अँधेरा-सा छाया है
सुखिया का चेहरा अमावस का साया है
सबने मिल माता की कोख को सताया है
सुखिया की पत्नी में दोष अब बयासी हैं।
उसके घर प्रभु ने एक बिटिया ताराशी है॥
बिटिया जो चूल्हे की आग में झुलसती है
ख़ुद भूखी रहकर भी थाली परसती है
सपनों में बापू के प्यार को तरसती है
सुखिया की माता जो अब तक रुआँसी है।
उसके घर प्रभु ने एक बिटिया तराशी है॥
लकड़ी के बोझ तले दर्द को दबाती है
सुई और तागों से मन को बहलाती है
ममता की चाहत में सिसकी ही पाती है
चौखट पे मातम है लगती बला-सी है।
उसके घर प्रभु ने एक बिटिया तराशी है॥
sukhiya ke man mein ab ek hi udasi hai.
uske ghar prabhu ne ek bitiya tarashi hai॥
ghar mein bhayavah andhera sa chhaya hai,
sukhiya ka chehra amavas ka saya hai,
sabne mil mata ki kokh ko sataya hai,
sukhiya ki patni mein dosh ab bayasi hai.
uske ghar prabhu ne ik bitiya tarashi hai.
bitiya jo chulhe ki aag mein jhulasti hai,
khu bhukhi rahkar bhi thali parasti hai,
sapnon mein bapu ke pyaar ko tarasti hai,
sukhiya ki mata jo ab tak ruasi hai.
uske ghar prabhu ne ek bitiya tarashi hai॥
lakDi ke bojh tale dard ko dabati hai,
sui aur tagon se man ko bahlati hai,
mamta ki chahat mein siski hi pati hai,
chaukhat pe matam hai lagti bala si hai.
uske ghar prabhu ne ik bitiya tarashi hai॥

स्रोत :
रचनाकार : विनम्र सेन सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.