प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा सातवी के पाठ्यक्रम में शामिल है।
अभी तक मैंने उन्हें दूर से देखा था। बड़ी गंभीर, शांत, अपने आप में खोई हुई लगती थीं। संभ्रात महिला की भाँति वे प्रतीत होती थीं। उनके प्रति मेरे दिल में आदर और श्रद्धा के भाव थे। माँ और दादी, मौसी और मामी की गोद की तरह उनकी धारा में डुबकियाँ लगाया करता।
परंतु इस बार जब मैं हिमालय के कंधे पर चढ़ा तो वे कुछ और रूप में सामने थीं। मैं हैरान था कि यही दुबली-पतली गंगा, यही यमुना, यही सतलुज समतल मैदानों में उतरकर विशाल कैसे हो जाती हैं! इनका उछलना और कूदना, खिलखिलाकर लगातर हँसते जाना, इनकी यह भाव-भंगी, इनका यह उल्लास कहाँ ग़ायब हो जाता है मैदान में जाकर? किसी लड़की को जब मैं देखता हूँ, किसी कली पर जब मेरा ध्यान अटक जाता है, तब भी कौतहूल और विस्मय नहीं होता, जितना कि इन बेटियों की बाललीला देखकर!
कहाँ ये भागी जा रही हैं? वह कौन लक्ष्य है जिसने इन्हें बेचैन कर रखा है? अपने महान पिता का प्रेम पाकर भी अगर इनका हृदय अतृप्त ही है तो वह कौन होगा जो इनकी प्यास मिटा सकेगा! बर्फ़ जली नंगी पहाड़ियाँ, छोटे-छोटे पौधों से भरी घाटियाँ, बंधुर अधित्यकाएँ, सरसब्ज़ उपत्यकाएँ—ऐसा है इनका लीला निकेतन! खेलते-खेलते जब ये ज़रा दूर निकल जाती हैं तो देवदार, चीड़, सरो, चिनार, सफ़ेदा, कैल के जंगलों में पहुँचकर शायद इन्हें बीती बातें याद करने का मौक़ा मिल जाता होगा। कौन जाने, बुड्ढा हिमालय अपनी इन नटखट बेटियों के लिए कितना सिर धुनता होगा! बड़ी-बड़ी चोटियों से जाकर पूछिए तो उत्तर में विराट मौन के सिवाए उनके पास और रखा ही क्या है?
सिंधु और ब्रह्मपुत्र—ये दो ऐसे नाम हैं जिनके सुनते ही रावी, सतलुज, व्यास, चनाब, झेलम, काबुल (कुभा), कपिशा, गंगा, यमुना, सरयू, गंडक, कोसी आदि हिमालय की छोटी-बड़ी सभी बेटियाँ आँखों के सामने नाचने लगती हैं। दयालु हिमालय के पिघले हुए दिल की एक-एक बूँद न जाने कब से इकट्ठा हो-होकर इन दो महानदों के रूप में समुद्र की ओर प्रवाहित होती रही है। कितना सौभाग्यशाली है वह समुद्र जिसे पर्वतराज हिमालय की इन दो बेटियों का हाथ पकड़ने का श्रेय मिला!
जिन्होनें मैदानों में ही इन नदियों को देखा होगा, उनके ख़याल में शायद ही यह बात आ सके कि बूढ़े हिमालय की गोद में बच्चियाँ बनकर ये कैसे खेला करती हैं। माँ-बाप की गोद में नंग-धड़ंग होकर खेलनेवाली इन बालिकाओं का रूप पहाड़ी आदमियों के लिए आकर्षक भले न हो, लेकिन मुझे तो ऐसा लुभावना प्रतीत हुआ वह रूप कि हिमालय को ससुर और समुद्र को उसका दामाद कहने में कुछ भी झिझक नहीं होती है।
कालिदास के विरही यक्ष ने अपने मेघदूत से कहा था—वेत्रवती (बेतवा) नदी को प्रेम का प्रतिदान देते जाना, तुम्हारी वह प्रेयसी तुम्हें पाकर अवश्य ही प्रसन्न होगी। यह बात इन चंचल नदियों को देखकर मुझे अचानक याद आ गई और सोचा कि शायद उस महाकवि को भी नदियों का सचेतन रूपक पसंद था। दरअसल जो भी कोई नदियों को पहाड़ी घाटियों और समतल आँगनों के मैदानों में जुदा-जुदा शक्लों में देखेगा, वह इसी नतीजे पर पहुँचेगा।
काका कालेलकर ने नदियों को लोकमाता कहा है। किंतु माता बनने से पहले यदि हम इन्हें बेटियों के रूप में देख लें तो क्या हर्ज़ है? और थोड़ा आगे चलिए...इन्हीं में अगर हम प्रेयसी की भावना करें तो कैसे रहेगा? ममता का एक और भी धागा है, जिसे हम इनके साथ जोड़ सकते हैं। बहन का स्थान कितने कवियों ने इन नदियों को दिया है। एक दिन मेरी भी ऐसी भावना हुई थी। थो—लिङ् (तिब्बत) की बात है। मन उचट गया था, तबीयत ढीली थी। सतलज के किनारे जाकर बैठ गया। दुपहर का समय था। पैर लटका दिए पानी में। थोड़ी ही देर में उस प्रगतिशील जल ने असर डाला। तन और मन ताज़ा हो गया तो लगा मैं गुनगुनाने—
***
जय हो सतलज बहन तुम्हारी
लीला अचरज बहन तुम्हारी
हुआ मुदित मन हटा खुमारी
जाऊँ मैं तुम पर बलिहारी
तुम बेटी यह बाप हिमालय
चिंतित पर, चुपचाप हिमालय
प्रकृति नटी के चित्रित पट पर
अनुपम अद्भुत छाप हिमालय
जय हो सतलज बहन तुम्हारी!
abhi tak mainne unhen door se dekha tha. baDi gambhir, shaant, apne aap mein khoi hui lagti theen.
sambhrat mahila ki bhanti ve pratit hoti theen. unke prati mere dil mein aadar aur shraddha ke bhaav the. maan aur dadi, mausi aur mami ki god ki tarah unki dhara mein Dubkiyan lagaya karta.
parantu is baar jab main ‘himalay ke kandhe par chaDha to ve kuch aur roop mein samne theen. main hairan tha ki yahi dubli patli ganga, yahi yamuna, yahi satluj samtal maidanon mein utarkar vishal kaise ho jati hain! inka uchhalna aur kudna, khilakhilakar lagatar hanste jana, inki ye bhav—bhangi, inka ye ullaas kahan ghayab ho jata hai maidan mein jakar? kisi laDki ko jab main dekhta hoon, kisi kali par jab mera dhyaan atak jata hai, tab bhi kauthul aur vismay nahin hota, jitna ki in betiyon ki balalila dekhkar!
kahan ye bhagi ja rahi hain? wo kaun lakshya hai jisne inhen bechain kar rakha hai? apne mahan pita ka prem pakar bhi agar inka hrday atript hi hai to wo kaun hoga jo inki pyaas mita sakega! barf jali nangi pahaDiyan, chhote chhote paudhon se bhari ghatiyan, bandhur adhitykayen, sarsabz upatykayen—aisa hai inka lila niketan! khelte khelte jab ye zara door nikal jati hain to devdar, cheeD, saro, chinar, safeda, kail ke janglon mein pahunchakar shayad inhen biti baten yaad karne ka mauka mil jata hoga. kaun jane, buDDha himalay apni in natkhat betiyon ke liye kitna sir dhunta hoga! baDi baDi chotiyon se jakar puchhiye to uttar mein virat maun ke sivaye unke paas aur rakha hi kya hai?
sindhu aur brahmputr—ye do aise naam hain jinke sunte hi ravi, satluj, vyaas, chanab, jhelam, kabul (kubha), kapisha, ganga, yamuna, saryu, ganDak, kosi aadi himalay ki chhoti baDi sabhi betiyan ankhon ke samne nachne lagti hain. dayalu himalay ke pighle hue dil ki ek ek boond na jane kab se ikattha ho hokar in do mahandon ke roop mein samudr ki or prvahit hoti rahi hai. kitna saubhagyashali hai wo samudr jise parvatraj himalay ki in do betiyon ka haath pakaDne ka shrey mila!
jinhonen maidanon mein hi in nadiyon ko dekha hoga, unke khayal mein shayad hi ye baat aa sake ki buDhe himalay ki god mein bachchiyan bankar ye kaise khela karti hain. maan baap ki god mein nang dhaDang hokar khelnevali in balikaon ka roop pahaDi adamiyon ke liye akarshak bhale na ho, lekin mujhe to aisa lubhavana pratit hua wo roop ki himalay ko sasur aur samudr ko uska damad kahne mein kuch bhi jhijhak nahin hoti hai.
kalidas ke virhi yaksh ne apne meghdut se kaha tha—vetravti (betava) nadi ko prem ka pratidan dete jana, tumhari wo preyasi tumhein pakar avashya hi prasann hogi. ye baat in chanchal nadiyon ko dekhkar mujhe achanak yaad aa gai aur socha ki shayad us mahakavi ko bhi nadiyon ka sachetan rupak pasand tha. darasal jo bhi koi nadiyon ko pahaDi ghatiyon aur samtal anganon ke maidanon mein juda juda shaklon mein dekhega, wo isi natije par pahunchega.
kaka kalelkar ne nadiyon ko lokmata kaha hai. kintu mata banne se pahle yadi hum inhen betiyon ke roop mein dekh len to kya harz hai? aur thoDa aage chaliye. . . inhin mein agar hum preyasi ki bhavna karen to kaise rahega? mamta ka ek aur bhi dhaga hai, jise hum inke saath joD sakte hain. bahan ka sthaan kitne kaviyon ne in nadiyon ko diya hai. ek din meri bhi aisi bhavna hui thi. tho—lin (tibbat) ki baat hai. man uchat gaya tha, tabiyat Dhili thi. satlaj ke kinare jakar baith gaya. dopahar ka samay tha. pair latka diye pani mein. thoDi hi der mein us pragtishil jal ne asar Dala. tan aur man taza ho gaya to laga main gungunane—
jay ho satlaj bahan tumhari
lila achraj bahan tumhari
hua mudit man hata khumari
jaun main tum par balihari
tum beti ye baap himalay
chintit par, chupchap himalay
prkriti nati ke chitrit pat par
anupam adbhut chhaap himalay
jay ho satlaj bahan tumhari!

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.