इधर दो फूल मुँह से मुँह सटाए
बात करते हैं
यहीं से काट लो रस्ता
यही बेहतर
हमें दिन इस तरह के
रास आए नहीं ये दीगर
तसल्ली है कहीं तो
पल रहा है प्यार धरती पर
हरे जल पर पड़े मस्तूल-साए
बात करते हैं
यहीं से काट लो रस्ता
यही बेहतर
खुले में ये खुलापन देखकर
जो चैन पाया है
कई कुर्बानियों का रंग
रेशम में समाया है
उमर की आग का परचम उठाए
बात करते हैं
यहीं से काट लो रस्ता
यही बेहतर।
idhar do phool munh se munh sataye
baat karte hain
yahin se kaat lo rasta
yahi behtar
hamein din is tarah ke
raas aaye nahin ye digar
tasalli hai kahin to
pal raha hai pyaar dharti par
hare jal par paDe mastul saye
baat karte hain
yahin se kaat lo rasta
yahi behtar
khule mein ye khulapan dekhkar
jo chain paya hai
kai kurbaniyon ka rang
resham mein samaya hai
umar ki aag ka parcham uthaye
baat karte hain
yahin se kaat lo rasta
yahi behtar.
idhar do phool munh se munh sataye
baat karte hain
yahin se kaat lo rasta
yahi behtar
hamein din is tarah ke
raas aaye nahin ye digar
tasalli hai kahin to
pal raha hai pyaar dharti par
hare jal par paDe mastul saye
baat karte hain
yahin se kaat lo rasta
yahi behtar
khule mein ye khulapan dekhkar
jo chain paya hai
kai kurbaniyon ka rang
resham mein samaya hai
umar ki aag ka parcham uthaye
baat karte hain
yahin se kaat lo rasta
yahi behtar.
स्रोत :
रचनाकार : रमेश रंजक
प्रकाशन : कविता कोश
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.