पर ठीक वैसा ही हमारा यह प्रसिद्ध विकास है—
जैसा कि बुझने के प्रथम बढ़ता प्रदीप-प्रकाश है।
हो बौद्ध लक्ष्य-भ्रष्ट सहसा घोर नास्तिक ही रहे,
सँभले न फिर हम आर्य भी, इस भाँति विषयों में बहे!॥
यद्यपि सनातन धर्म्म की ही अंत में जय-जय रही,
भगवान शंकर ने भगा दी बौद्ध-भ्रांति भयावही।
पर हाय! हम चेते नहीं फँस कर कलह के जाल में,
क्या फूट की जड़ फैलती है फूट कर पाताल में!
बढ़ने लगा विग्रह परस्पर, क्रांतियाँ होने लगीं,
अनुदारता मय स्वार्थ के वश भ्रांतियाँ होने लगीं।
जिसमें हुआ कुछ बल वही अधिकार पर मरने लगा,
सौभाग्य भय खाकर भगा दुर्भाग्य जय पाकर जगा॥
बहु तुच्छ रजवाड़े बने, साम्राज्य सब कट छँट गया;
यों भूरि भागों में हमारा दीन भारत बँट गया!
जो एक अनुपम रत्न था परिणत कणों में हो गया,
वह मूल्य और प्रकाश सारा टूटते ही खो गया॥
आचार और विचार तक ही यह विभेद बढ़ा नहीं,
बहु भिन्न भाषाएँ हुई, फैली विषमता सब कहीं।
आलाप करना भी परस्पर क्लेश हमको हो गया,
निज देश में ही हा विधे! परदेश हमको हो गया॥
par theek waisa hi hamara ye prasiddh wikas hai
jaisa ki bujhne ke pratham baDhta pradip parkash hai
ho bauddh lakshya bhrasht sahsa ghor nastik hi rahe,
sambhle na phir hum aarya bhi,is bhanti wishyon mein bahe!॥
yadyapi sanatan dharmm ki hi ant mein jay jay rahi,
bhagwan shankar ne bhaga di bauddh bhranti bhayawhi
par hay! hum chete nahin phans kar kalah ke jal mein,
kya phoot ki jaD phailti hai phoot kar patal mein!॥
baDhne laga wigrah paraspar,krantiyan hone lagin,
anudarata mai swarth ke wash bhrantiyan hone lagin
jismen hua kuch bal wahi adhikar par marne laga,
saubhagya bhay khakar bhaga durbhagy jay pakar jaga॥
bahu tuchchh rajwaDe bane,samrajy sab kat chhant gaya;
yon bhuri bhagon mein hamara deen bharat bant gaya!
jo ek anupam ratn tha parinat kanon mein ho gaya,
wo mooly aur parkash sara tutte hi kho gaya॥
achar aur wichar tak hi ye wibhed baDha nahin,
bahu bhinn bhashayen hui,phaili wishamata sab kahin
alap karna bhi paraspar klesh hamko ho gaya,
nij desh mein ho hi widhe! pardesh hamko ho gaya॥

स्रोत :
पुस्तक : भारत भारती (पृष्ठ 73)
रचनाकार : मैथलीशरण गुप्त
प्रकाशन : साहित्य सदन चिरगाँव झाँसी
संस्करण : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.