जाओ
तुम प्रेम गीत लिखो
और मुझे लिखने दो
मृत्यु पर कविता
तुम इंद्रधनुषी सपने सजाओ
किसी पार्क की बेंच के पास
गुलाब का एक गुच्छा लिए
अपनी नई प्रेमिका को मनाओ
मुझे छोड़ दो
वर्तमान की
सियाह काली रातों में
भूखे बच्चों, लाचार बूढ़ों
और असहाय औरतों की
दर्द भरी बातों में
विश्व भर में
युद्ध के बादलों से घिरी
खूनी बरसातों में
ठाँए…ठाँए…
गोलियाँ चलें
या बम गिरें
शहर के शहर उजाड़ दें
या मिसाइलें
हरे-भरे पेड़ों को उखाड़ दें
जब मरने लगे मनवता
तब कैसे लिखूँ
प्रेम गीत और कविता?
पर जो सुरक्षित हैं न
वो प्रेम गीत गा सकते हैं
आँखें बंद करके
सपने सजा सकते हैं
प्रश्न यह है
इतनी तबाही के बाद
आख़िर बचेगा क्या?
ये खंडहर? ये वीरानियाँ?
ये टूटी-फूटी सुनसान सड़कें?
ये बंज़र ज़मीन?
कौन क्या पाएगा?
जब इंसा ही नहीं रहेगा
तो किसके हिस्से
ये सब आएगा?
बंज़र ज़मीन से
प्रेम कैसे उपजेगा?
वात्सल्य के फूल
कैसे खिलेंगे?
भावी पीढ़ी में
बस बहेगी करुणा
वंशजों के सीने में
बचेगी क्रोधाग्नि
छिन्न-भिन्न प्रेमी
फिर कैसे मिलेंगे?
शक्ति का उपयोग
दुरूपयोग
खंडहरों में तब्दील कर देगा
मानव सभ्यता को
स्वार्थ का दानव
नष्ट कर देगा
संपूर्ण सृष्टि को
तो दोस्त
बहुत देर हो जाएगी
कलम उठानी ही है
तो उठाओ
प्रेम गीत न गाओ
लिख डालो एक अनुबंध
युद्ध के विरोध में।
jao
tum prem geet likho
aur mujhe likhne do
mrityu par kavita
tum indradhanushi sapne sajao
kisi park ki bench ke paas
gulab ka ek guchchha liye
apni nai premika ko manao
mujhe chhoD do
vartaman ki
siyah kali raton mein
bhukhe bachchon, lachar buDhon
aur ashay aurton ki
dard bhari baton mein
vishv bhar mein
yuddh ke badlon se ghiri
khuni barsaton mein
thanya…thanya…
goliyan chalen
ya bam giren
shahr ke shahr ujaaD den
ya misailen
hare bhare peDon ko ukhaaD den
jab marne lage manavta
tab kaise likhun
prem geet aur kavita?
par jo surakshit hain na
wo prem geet ga sakte hain
ankhen band karke
sapne saja sakte hain
parashn ye hai
itni tabahi ke baad
akhir bachega kyaa?
ye khanDhar? ye viraniyan?
ye tuti phuti sunsan saDken?
ye banzar zamin?
kaun kya payega?
jab insa hi nahin rahega
to kiske hisse
ye sab ayega?
banzar zamin se
prem kaise upjega?
vatsalya ke phool
kaise khilenge?
bhavi piDhi mein
bas bahegi karuna
vanshjon ke sine mein
bachegi krodhagni
chhinn bhinn premi
phir kaise milenge?
shakti ka upyog
durupyog
khanDahron mein tabdil kar dega
manav sabhyata ko
svaarth ka danav
nasht kar dega
sampurn srishti ko
to dost
bahut der ho jayegi
kalam uthani hi hai
to uthao
prem geet na gao
likh Dalo ek anubandh
yuddh ke virodh mein.
jao
tum prem geet likho
aur mujhe likhne do
mrityu par kavita
tum indradhanushi sapne sajao
kisi park ki bench ke paas
gulab ka ek guchchha liye
apni nai premika ko manao
mujhe chhoD do
vartaman ki
siyah kali raton mein
bhukhe bachchon, lachar buDhon
aur ashay aurton ki
dard bhari baton mein
vishv bhar mein
yuddh ke badlon se ghiri
khuni barsaton mein
thanya…thanya…
goliyan chalen
ya bam giren
shahr ke shahr ujaaD den
ya misailen
hare bhare peDon ko ukhaaD den
jab marne lage manavta
tab kaise likhun
prem geet aur kavita?
par jo surakshit hain na
wo prem geet ga sakte hain
ankhen band karke
sapne saja sakte hain
parashn ye hai
itni tabahi ke baad
akhir bachega kyaa?
ye khanDhar? ye viraniyan?
ye tuti phuti sunsan saDken?
ye banzar zamin?
kaun kya payega?
jab insa hi nahin rahega
to kiske hisse
ye sab ayega?
banzar zamin se
prem kaise upjega?
vatsalya ke phool
kaise khilenge?
bhavi piDhi mein
bas bahegi karuna
vanshjon ke sine mein
bachegi krodhagni
chhinn bhinn premi
phir kaise milenge?
shakti ka upyog
durupyog
khanDahron mein tabdil kar dega
manav sabhyata ko
svaarth ka danav
nasht kar dega
sampurn srishti ko
to dost
bahut der ho jayegi
kalam uthani hi hai
to uthao
prem geet na gao
likh Dalo ek anubandh
yuddh ke virodh mein.
स्रोत :
रचनाकार : रेखा राजवंशी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.