जीवन ऐसा नहीं होना चाहिए
कि दो टाँगों के बीच की दूरी बहुत बढ़ जाए
मौसम ऐसा नहीं होना चाहिए
कि जंजाल के छातों को वह भेद न सके
किसानी ऐसी नहीं होनी चाहिए
कि खेतों को आसमान से चुगली करनी पड़े
विचार ऐसे नहीं होने चाहिए
कि तीस सेकेंड में उनकी रेसिपी स्पष्ट हो जाए
रेल ऐसी नहीं होनी चाहिए
कि उसमें मूँगफली के छिलके तक न मिलें
बुराई ऐसी नहीं होनी चाहिए
कि झट से अच्छाइयों से दोस्ती कर बैठे
रौशनी ऐसी नहीं होनी चाहिए
कि उसे आपस में विमाएँ भटकाती रहें
मर्मस्थल ऐसे नहीं होने चाहिए
कि झपट्टा मारकर कोई उन्हें चुरा ले जाए
प्रतिभा ऐसी नहीं होनी चाहिए
कि तारीफ़ों की सूती से उसे छील दिया जाए।
jivan aisa nahin hona chahiye
ki do tangon ke beech ki duri bahut baDh jaye
mausam aisa nahin hona chahiye
ki janjal ke chhaton ko wo bhed na sake
kisani aisi nahin honi chahiye
ki kheton ko asman se chugli karni paDe
vichar aise nahin hone chahiye
ki tees sekenD mein unki resipi aspasht ho jaye
rel aisi nahin honi chahiye
ki usmen mungaphali ke chhilke tak na milen
burai aisi nahin honi chahiye
ki jhat se achchhaiyon se dosti kar baithe
raushani aisi nahin honi chahiye
ki use aapas mein vimayen bhatkati rahen
marmasthal aise nahin hone chahiye
ki jhapatta markar koi unhen chura le jaye
pratibha aisi nahin honi chahiye
ki tarifon ki suti se use chheel diya jaye.
jivan aisa nahin hona chahiye
ki do tangon ke beech ki duri bahut baDh jaye
mausam aisa nahin hona chahiye
ki janjal ke chhaton ko wo bhed na sake
kisani aisi nahin honi chahiye
ki kheton ko asman se chugli karni paDe
vichar aise nahin hone chahiye
ki tees sekenD mein unki resipi aspasht ho jaye
rel aisi nahin honi chahiye
ki usmen mungaphali ke chhilke tak na milen
burai aisi nahin honi chahiye
ki jhat se achchhaiyon se dosti kar baithe
raushani aisi nahin honi chahiye
ki use aapas mein vimayen bhatkati rahen
marmasthal aise nahin hone chahiye
ki jhapatta markar koi unhen chura le jaye
pratibha aisi nahin honi chahiye
ki tarifon ki suti se use chheel diya jaye.
स्रोत :
रचनाकार : अखिलेश सिंह
प्रकाशन : सदानीरा
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.