मुझे फेंक दिया है यहाँ, इन सर्प गुफाओं में
यहाँ सूर्य किरणों को लटका दिया गया है।
वे केवल एक दिन
वे मुझे ले जाएँगे छतों के ऊपर
वे खटखटाते हुए आएँगे। शताब्दी-द्वार तोड़ते हुए
चौराहों पर वे अपने चेहरे लटकाते आएँगे।
मुझे फेंक दिया है यहाँ। यहाँ भीड़ों में एकांत खोजते हैं लोग
चुक जाने के बाद खोजते हैं यहाँ
यहाँ से वहाँ तक इतिहास।
एक मनुष्याकार लगातार अपने मांस से रक्त बहाए जा रहा है
हज़ारों छिपकलियाँ रेंगती हुई रक्त पीती हैं
मुझे फेंक दिया है यहाँ। यहाँ आदिम बिंबों के दर्पणों पर झाँक
मैं अंधा हो गया हूँ।
mujhe phenk diya hai yahan, in sarp guphaon mein
yahan surya kirnon ko latka diya gaya hai
we kewal ek din
we mujhe le jayenge chhaton ke upar
we khatakhtate hue ayenge shatabdi dwar toDte hue
chaurahon par we apne chehre latkate ayenge
mujhe phenk diya hai yahan yahan bhiDon mein ekant khojte hain log
chuk jane ke baad khojte hain yahan
yahan se wahan tak itihas
ek manushyakar lagatar apne mans se rakt bahaye ja raha hai
hazaron chhipkiliyan rengti hui rakt piti hain
mujhe phenk diya hai yahan yahan aadim bimbon ke darpnon par jhank
main andha ho gaya hoon

स्रोत :
पुस्तक : विजप (पृष्ठ 9)
रचनाकार : गंगाप्रसाद विमल
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.