हिलते हैं दरख़्तों के तने और बाज़ार में भूचाल आ जाता है
कोई रात भर जागकर लिखता है किसी का नाम
और सुबह भूल जाता है!
एक अकेली उदास लड़की पीली पत्तियों में से गुज़र जाती है
धूप अकेली लेटी रहती है चुपचाप
और लावारिस कुत्ते छतों को ताक़ते सड़क को गालियाँ देते हैं!
मैं एक बुझे सिगार को रास्ते से उठा लाता हूँ
और अपने फटे घुटनों पर सिर टिकाकर
सुलगाता हूँ
एक गर्म साँस छत से उतरती है
और जिस ओर मैं मुँह उठाता हूँ
बेहया की तरह सामने पसर जाती है!
रात लोमड़ी की तरह चुपचाप जंगल से भाग आती है
और मेरे कलेजे में चुभने लगती हैं सुइयाँ
किसी बियाबान में घूमती एक आवारा गाय
किसी गिरफ़्त में आने को बेचैन नज़र आती है।
फट जाता है आसमान
और उगल देता है काला सूर्य
मैं अपने फटे हुए जूतों में उँगलियाँ फँसाता हूँ
और उन गलियों की ओर निकल जाता हूँ
जहाँ रात में घूमते हुए मुझे शर्म आती थी!
hilte hain darakhton ke tane aur bazar mein bhuchal aa jata hai
koi raat bhar jagkar likhta hai kisi ka nam
aur subah bhool jata hai!
ek akeli udas laDki pili pattiyon mein se guzar jati hai
dhoop akeli leti rahti hai chupchap
aur lawaris kutte chhaton ko taqte saDak ko galiyan dete hain!
main ek bujhe cigar ko raste se utha lata hoon
aur apne phate ghutnon par sir tikakar
sulgata hoon
ek garm sans chhat se utarti hai
aur jis or main munh uthata hoon
behaya ki tarah samne pasar jati hai!
raat lomDi ki tarah chupchap jangal se bhag aati hai
aur mere kaleje mein chubhne lagti hain suiyan
kisi biyaban mein ghumti ek awara gay
kisi giraft mein aane ko bechain nazar aati hai
phat jata hai asman
aur ugal deta hai kala surya
main apne phate hue juton mein ungliyan phansata hoon
aur un galiyon ki or nikal jata hoon
jahan raat mein ghumte hue mujhe sharm aati thee!

स्रोत :
पुस्तक : विजप (पृष्ठ 60)
रचनाकार : जगदीश चतुर्वेदी
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.