बच बचाकर एक-दूजे को ताक़ लेने भर से भी
बची रहेगी दुनिया
जैसे बचा रहेगा बसंत
पृथ्वी पर
बचे हुए अंतिम दूब तक और
टकराती प्रतिबिंबों में एक होते रहेगें—
दो लोग
किसी सुनसान सड़क पर।
जब संसार और समाज से बहिष्कृत कर दिया जाता है—
प्रेम
गंगा देती है शरण।
अपने अपने हिस्से का मौन
साझा कर रहे दो लोग
बैठे हैं उसकी तट पर
गंगा का उमड़ता जल
प्रेमी हृदयों की ही तरंग हैं
हवाओं की बहाव में अत्यधिक दबाव है
देह चीर रही
पथराई आँख
फटे होंठ
लेकिन एक कंधा—तटस्थ।
केवल अनुभव से पहचाना जा सकता है
जिया हुआ प्रेम और
रूआँसा हुआ आँख
शब्दों में भरे जा सकते हैं गहन-गहन अर्थ लेकिन
अर्थों में कैसे सिमट सकेगी—
अनुभूति?
फिर एक शाम
तुम्हारी हथेली पर क्या बचेगा
अधसुलगा एक सिगरेट और
अनसुलझे कई सवाल!
bach bachakar ek duje ko taaq lene bhar se bhi
bachi rahegi duniya
jaise bacha rahega basant
prithvi par
bache hue antim doob tak aur
takrati pratibimbon mein ek hote rahegen—
do log
kisi sunsan saDak par.
jab sansar aur samaj se bahishkrit kar diya jata hai—
prem
ganga deti hai sharan.
apne apne hisse ka maun
sajha kar rahe do log
baithe hain uski tat par
ganga ka umaDta jal
premi hridyon ki hi tarang hain
havaon ki bahav mein atyadhik dabav hai
deh cheer rahi
pathrai ankh
phate honth
lekin ek kandha—tatasth.
keval anubhav se pahchana ja sakta hai
jiya hua prem aur
ruansa hua ankh
shabdon mein bhare ja sakte hain gahan gahan arth lekin
arthon mein kaise simat sakegi—
anubhuti?
phir ek shaam
tumhari hatheli par kya bachega
adhasulga ek sigret aur
anasuljhe kai saval!
bach bachakar ek duje ko taaq lene bhar se bhi
bachi rahegi duniya
jaise bacha rahega basant
prithvi par
bache hue antim doob tak aur
takrati pratibimbon mein ek hote rahegen—
do log
kisi sunsan saDak par.
jab sansar aur samaj se bahishkrit kar diya jata hai—
prem
ganga deti hai sharan.
apne apne hisse ka maun
sajha kar rahe do log
baithe hain uski tat par
ganga ka umaDta jal
premi hridyon ki hi tarang hain
havaon ki bahav mein atyadhik dabav hai
deh cheer rahi
pathrai ankh
phate honth
lekin ek kandha—tatasth.
keval anubhav se pahchana ja sakta hai
jiya hua prem aur
ruansa hua ankh
shabdon mein bhare ja sakte hain gahan gahan arth lekin
arthon mein kaise simat sakegi—
anubhuti?
phir ek shaam
tumhari hatheli par kya bachega
adhasulga ek sigret aur
anasuljhe kai saval!
स्रोत :
रचनाकार : अपूर्वा श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.