इच्छाएँ
बाल्टी के चाँद की तरह
कुएँ में छलक जाती हैं
आँखों में रह जाते सूने निःस्पृह तल
बाहर सड़कों पर
चली हुई दूरियाँ पड़ी हैं
जिन पर चलता हुआ
अपनी परछाईं में लौटता हूँ चुपचाप
शाम आकाश में
सूखे पेड़ की आकृति
टूटी जड़ों की मौन व्यथा लिए
धीरे-धीरे दिशाओं में घुलती है
अँधेरा
मनुष्य का अनसुना है
घिर आता है बेआवाज़
इस समय दुख पास-पास
और तारे ऊपर हैं
प्रवचनों से दूर
मृत्यु-शैय्या पर पड़े
वृद्ध के कुत्ते के साथ जीवन रो लेता
भीतर कहीं मृत्यु हो जाती
बाहर इतना जलसा है कि
कुछ भी कहना असभ्यता है
कभी रात के किसी पहर
पहाड़ के ऊपर से देखा था
धरती पर जीवन सोया था
चाँदनी ओढ़ने की तरह पड़ी थी
ichhayen
balti ke chand ki tarah
kuen mein chhalak jati hain
ankhon mein rah jate sune niःsprih tal
bahar saDkon par
chali hui duriyan paDi hain
jin par chalta hua
apni parchhain mein lautta hoon chupchap
sham akash mein
sukhe peD ki akriti
tuti jaDon ki maun wyatha liye
dhire dhire dishaon mein ghulti hai
andhera
manushya ka ansuna hai
ghir aata hai beawaz
is samay dukh pas pas
aur tare upar hain
prawachnon se door
mirtyu shaiyya par paDe
wriddh ke kutte ke sath jiwan ro leta
bhitar kahin mirtyu ho jati
bahar itna jalsa hai ki
kuch bhi kahna asabhyata hai
kabhi raat ke kisi pahar
pahaD ke upar se dekha tha
dharti par jiwan soya tha
chandni oDhne ki tarah paDi thi
ichhayen
balti ke chand ki tarah
kuen mein chhalak jati hain
ankhon mein rah jate sune niःsprih tal
bahar saDkon par
chali hui duriyan paDi hain
jin par chalta hua
apni parchhain mein lautta hoon chupchap
sham akash mein
sukhe peD ki akriti
tuti jaDon ki maun wyatha liye
dhire dhire dishaon mein ghulti hai
andhera
manushya ka ansuna hai
ghir aata hai beawaz
is samay dukh pas pas
aur tare upar hain
prawachnon se door
mirtyu shaiyya par paDe
wriddh ke kutte ke sath jiwan ro leta
bhitar kahin mirtyu ho jati
bahar itna jalsa hai ki
kuch bhi kahna asabhyata hai
kabhi raat ke kisi pahar
pahaD ke upar se dekha tha
dharti par jiwan soya tha
chandni oDhne ki tarah paDi thi
स्रोत :
पुस्तक : अपनी परछाईं में लौटता हूँ चुपचाप (पृष्ठ 32)
रचनाकार : रामकुमार तिवारी
प्रकाशन : आईसेक्ट पब्लिकेशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.