इन शब्दों में कोई छाया नहीं है
कभी थी—रही होगी
अब तो महज़ ठंडे काले अक्षर हैं
जो कोई मर्ज़ी भी नहीं बताते
इन शब्दों में कभी जब मैंने बैल
लिखा था तो सोचता था—यह
बैल नहीं है
अब लगता है बैल ही था
इन शब्दों में कुछ सच बोला करता था
उनमें कुछ इस प्रकार के सच भी थे कि
उन्हें बोलने के बजाय अपने
बाल नोचना ज़्यादा मुनासिब होता
सूरज चमकता है—इस आशय के
लिखे शब्द कब के बुझ चुके हैं
पहाड़ों जितनी आयु नहीं थी शब्दों की
बहुत-से तो मोज़ों से चप्पलों से भी कम चले
मैं सोचता था उन्हें बोल देना अकेला रास्ता है
और मैं बोल सकता था।
in shabdon mein koi chhaya nahin hai
kabhi thi—rahi hogi
ab to mahz thanDe kale akshar hain
jo koi marzi bhi nahin batate
in shabdon mein kabhi jab mainne bail
likha tha to sochta tha—yah
bail nahin hai
ab lagta hai bail hi tha
in shabdon mein kuch sach bola karta tha
unmen kuch is prakar ke sach bhi the ki
unhen bolne ke bajay apne
baal nochna zyada munasib hota
suraj chamakta hai—is ashay ke
likhe shabd kab ke bujh chuke hain
pahaDon jitni aayu nahin thi shabdon ki
bahut se to mozon se chappalon se bhi kam chale
main sochta tha unhen bol dena akela rasta hai
aur main bol sakta tha
in shabdon mein koi chhaya nahin hai
kabhi thi—rahi hogi
ab to mahz thanDe kale akshar hain
jo koi marzi bhi nahin batate
in shabdon mein kabhi jab mainne bail
likha tha to sochta tha—yah
bail nahin hai
ab lagta hai bail hi tha
in shabdon mein kuch sach bola karta tha
unmen kuch is prakar ke sach bhi the ki
unhen bolne ke bajay apne
baal nochna zyada munasib hota
suraj chamakta hai—is ashay ke
likhe shabd kab ke bujh chuke hain
pahaDon jitni aayu nahin thi shabdon ki
bahut se to mozon se chappalon se bhi kam chale
main sochta tha unhen bol dena akela rasta hai
aur main bol sakta tha
स्रोत :
पुस्तक : सरे-शाम (पृष्ठ 92)
रचनाकार : असद ज़ैदी
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.