सब कुछ क्षण में ही बदलता है
बदलने के लिए
कल्प, संवत्सर, युग, वर्ष, माह और दिन की ज़रूरत नहीं होती
केवल एक क्षण ही
काम तमाम करने के लिए काफ़ी है
प्रेम स्वाहा हो जाता है
क्रोध की ज्वाला में
दिल टुकड़े-टुकड़े होकर
ढाँक लेता है समूचा व्योम
पृथ्वी अचानक घूमना बंद कर देती है
सूर्य ज़ीरो वॉट के बल्ब जैसा लगने लगता है
चंद्रमा से लपटें निकलती हैं—
झुलसाती हुई
यह सब एक क्षण में ही होता है
एक ही क्षण में
तुम तुम बन गईं
और
एक ही क्षण में
तुम तुम न रहीं
एक ही क्षण में तो
मस्तिष्क में उल्कापात हो जाते हैं
और एक ही क्षण में
हम
अजनबी बन जाते हैं
अपने लिए भी
यह क्षण जब आता है
तब सब कुछ साथ ले जाता है
कभी-कभी तो
बदलने के लिए भी
कुछ शेष नहीं रहता
यूँ भी बदलाव अक्सर
निरर्थक ही होते हैं
देखा जाए तो उन्हें
क्षण की ज़रूरत भी नहीं होती
sab kuch kshan mein hi badalta hai
badalne ke liye
kalp, sanwatsar, yug, warsh, mah aur din ki zarurat nahin hoti
kewal ek kshan hi
kaam tamam karne ke liye kafi hai
prem suwaha ho jata hai
krodh ki jwala mein
dil tukDe tukDe hokar
Dhank leta hai samucha wyom
prithwi achanak ghumna band kar deti hai
surya zero waut ke bulb jaisa lagne lagta hai
chandrma se lapten nikalti hain—
jhulsati hui
ye sab ek kshan mein hi hota hai
ek hi kshan mein
tum tum ban gain
aur
ek hi kshan mein
tum tum na rahin
ek hi kshan mein to
mastishk mein ulkapat ho jate hain
aur ek hi kshan mein
hum
ajnabi ban jate hain
apne liye bhi
ye kshan jab aata hai
tab sab kuch sath le jata hai
kabhi kabhi to
badalne ke liye bhi
kuch shesh nahin rahta
yoon bhi badlaw aksar
nirarthak hi hote hain
dekha jaye to unhen
kshan ki zarurat bhi nahin hoti
sab kuch kshan mein hi badalta hai
badalne ke liye
kalp, sanwatsar, yug, warsh, mah aur din ki zarurat nahin hoti
kewal ek kshan hi
kaam tamam karne ke liye kafi hai
prem suwaha ho jata hai
krodh ki jwala mein
dil tukDe tukDe hokar
Dhank leta hai samucha wyom
prithwi achanak ghumna band kar deti hai
surya zero waut ke bulb jaisa lagne lagta hai
chandrma se lapten nikalti hain—
jhulsati hui
ye sab ek kshan mein hi hota hai
ek hi kshan mein
tum tum ban gain
aur
ek hi kshan mein
tum tum na rahin
ek hi kshan mein to
mastishk mein ulkapat ho jate hain
aur ek hi kshan mein
hum
ajnabi ban jate hain
apne liye bhi
ye kshan jab aata hai
tab sab kuch sath le jata hai
kabhi kabhi to
badalne ke liye bhi
kuch shesh nahin rahta
yoon bhi badlaw aksar
nirarthak hi hote hain
dekha jaye to unhen
kshan ki zarurat bhi nahin hoti
स्रोत :
रचनाकार : कुलदीप कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.