विस्मृति से बड़ी कोई औषधि नहीं
मन से निरंतर रिसते याद के घाव पर
उसी का लेप हो तो प्राण बचते हैं
मेरे जन्मचक्र में किंतु तुम्हारा स्मृति-दोष है।
दिन की कोई घड़ी हो, रात का कोई पहर
मन के कोमल तंतुओं को काटती
तुम्हारी याद की छुरी रुकती नहीं
उधर प्रेम के क्रूर ग्रहों को अश्रुओं का अर्घ्य चढ़ता है
इधर मैं सूखती चली जाती हूँ।
हे देवो, गंधर्वो, किन्नरो, नवग्रहों, दसों दिशाओ;
तुमने कहीं देखी है क्या!
दुष्यंत की दी अंगूठी मुझसे कहीं खो गई है
मैं अपने ही बियाबान में भटक रही हूँ—
अभिशप्त और अकेली
पीठ पर कामनाओं की शिला बाँध
मुक्ति के ऊँचे बहुत ऊँचे
पहाड़ पर चढ़ना आसान नहीं
मैं तुम्हारी याद का भारी पत्थर पीठ पर नहीं
सीने पर बाँधे जाने कितने जन्मों की असंभव यात्रा पर हूँ
कहते हैं, कुछ यात्राएँ कभी पूरी नहीं होतीं,
कहते हैं, कुछ यात्री कभी कहीं नहीं पहुँचते!
wismriti se baDi koi aushadhi nahin
man se nirantar riste yaad ke ghaw par
usi ka lep ho to paran bachte hain
mere janmchakr mein kintu tumhara smriti dosh hai
din ki koi ghaDi ho, raat ka koi pahar
man ke komal tantuon ko katti
tumhari yaad ki chhuri rukti nahin
udhar prem ke kroor grhon ko ashruon ka arghy chaDhta hai
idhar main sukhti chali jati hoon
he dewo, gandharwo, kinnro, nawagrhon, dason dishao;
tumne kahin dekhi hai kya!
dushyant ki di anguthi mujhse kahin kho gai hai
main apne hi biyaban mein bhatak rahi hoon—
abhishapt aur akeli
peeth par kamnaon ki shila bandh
mukti ke unche bahut unche
pahaD par chaDhna asan nahin
main tumhari yaad ka bhari patthar peeth par nahin
sine par bandhe jane kitne janmon ki asambhaw yatra par hoon
kahte hain, kuch yatrayen kabhi puri nahin hotin,
kahte hain, kuch yatri kabhi kahin nahin pahunchte!

स्रोत :
रचनाकार : सपना भट्ट
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.