बड़े दिनों बाद
पीहर से लौटी है पत्नी
और मुझे बेतरह याद आ रहा है
महीनों पहले खाई
अदरक, प्याज़
और हरी मिर्च के बघार वाली
अरहर की दाल का स्वाद
कितनी सुहानी
कितनी समरस हो गई हैं
घर की विरूपताएँ
कितना अद्भुत है चीज़ें वहीं हैं
लेकिन पत्नी सरहद लाँघ रही है
प्रेमिका के इलाक़े में दाख़िल होते हुए
बड़े दिनों बाद
रगों में आ रहा है
एक सौंधा उबाल
देह की हर दस्तक में
खुल रहा है
लहू में घुल रहा है
यह राज़
कि यह कविता ही है
जो हर कहीं हो सकती है
बड़े दिनों बाद
पीहर से लौटी पत्नी में भी।
कितनी बड़ी है यह दुनिया
हर चिट्ठी छोटी पड़ जाती है
आदमी के लिए उतनी-सी है दुनिया
जितनी उसकी चिट्ठी में आती है
क्या होगा उस दुनिया का
जो चिट्ठी से बाहर रह जाती है
baDe dinon baad
pihar se lauti hai patni
aur mujhe betarah yaad aa raha hai
mahinon pahle khai
adrak, pyaz
aur hari mirch ke baghar wali
arhar ki dal ka swad
kitni suhani
kitni samras ho gai hain
ghar ki wiruptayen
kitna adbhut hai chizen wahin hain
lekin patni sarhad langh rahi hai
premika ke ilaqe mein dakhil hote hue
baDe dinon baad
ragon mein aa raha hai
ek saundha ubaal
deh ki har dastak mein
khul raha hai
lahu mein ghul raha hai
ye raaz
ki ye kawita hi hai
jo har kahin ho sakti hai
baDe dinon baad
pihar se lauti patni mein bhi
kitni baDi hai ye duniya
har chitthi chhoti paD jati hai
adami ke liye utni si hai duniya
jitni uski chitthi mein aati hai
kya hoga us duniya ka
jo chitthi se bahar rah jati hai
baDe dinon baad
pihar se lauti hai patni
aur mujhe betarah yaad aa raha hai
mahinon pahle khai
adrak, pyaz
aur hari mirch ke baghar wali
arhar ki dal ka swad
kitni suhani
kitni samras ho gai hain
ghar ki wiruptayen
kitna adbhut hai chizen wahin hain
lekin patni sarhad langh rahi hai
premika ke ilaqe mein dakhil hote hue
baDe dinon baad
ragon mein aa raha hai
ek saundha ubaal
deh ki har dastak mein
khul raha hai
lahu mein ghul raha hai
ye raaz
ki ye kawita hi hai
jo har kahin ho sakti hai
baDe dinon baad
pihar se lauti patni mein bhi
kitni baDi hai ye duniya
har chitthi chhoti paD jati hai
adami ke liye utni si hai duniya
jitni uski chitthi mein aati hai
kya hoga us duniya ka
jo chitthi se bahar rah jati hai
स्रोत :
रचनाकार : सवाई सिंह शेखावत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.