ये  बदन  पर  गालियों  का  लेप  है  
अब  नहाने  का  वक़्त  हुआ  
एक  मर्द  देर  रात  नशे  में  है  
वह  खाने  की  थाली  को  लात  मारता  है  
वह  औरत  को  देख  करता  है  आँखें  लाल  
वह  बच्चों  को  बड़ी  आवाज़  में  सो  जाने  का  आदेश  देता  है  
बच्चों  के  कमरे  में  शांत-सी  हलचल  है  
बच्चों  की  आँखें  दीवार  के  पार  देख  रही  हैं  
बच्चों  के  कान  दीवार  से  झरती  आवाज़  पर  सिमट  रहे  हैं  
आदमी  औरत  की  रात  है  
बेमतलब  के  नशे  वाले  विवाद  हैं  
औरत  चीख़  नहीं  रही—बच्चों  की  ख़ातिर  
आदमी  दाग़  रहा  उसके  हाथ  
दाल  में  उँगली  डुबा  उसे  पानी  बता  रहा  
ये  हरामज़ादी  ही  रहेगी...  बता  रहा  
रात  के  काले  पन्ने  पर  घोर  सन्नाटा  है  
यह  अदालत  के  सोने  का  समय  
पुलिस  के  सोने  का  समय  
न्याय  के  सोने  का  समय  है  
यह  आदम  के  जाग  की  रात  है  
सब  हरामज़ादी  औरत  की  छाती  पर  
दाँत  गड़ाए  सो  रहे  हैं  
ये  कभी  नहीं  खुलने  वाली  नींद  है  
ये  कभी  नहीं  ख़त्म  होने  वाली  रात  है  
किसी  ने  देह  का  पैसा  चुकाया  
किसी  ने  हक़  
रात  हरामज़ादी  औरत  है  
तुम  उसी  हरामज़ादी  के  जने...  
             
                ye  badan  par  galiyon  ka  lep  hai  
ab  nahane  ka  waqt  hua  
ek  mard  der  raat  nashe  mein  hai  
wo  khane  ki  thali  ko  lat  marta  hai  
wo  aurat  ko  dekh  karta  hai  ankhen  lal  
wo  bachchon  ko  baDi  awaz  mein  so  jane  ka  adesh  deta  hai  
bachchon  ke  kamre  mein  shant  si  halchal  hai  
bachchon  ki  ankhen  diwar  ke  par  dekh  rahi  hain  
bachchon  ke  kan  diwar  se  jharti  awaz  par  simat  rahe  hain  
adami  aurat  ki  raat  hai  
bematlab  ke  nashe  wale  wiwad  hain  
aurat  cheekh  nahin  rahi—bachchon  ki  khatir  
adami  dagh  raha  uske  hath  
dal  mein  ungli  Duba  use  pani  bata  raha  
ye  haramzadi  hi  rahegi  bata  raha  
raat  ke  kale  panne  par  ghor  sannata  hai  
ye  adalat  ke  sone  ka  samay  
police  ke  sone  ka  samay  
nyay  ke  sone  ka  samay  hai  
ye  aadam  ke  jag  ki  raat  hai  
sab  haramzadi  aurat  ki  chhati  par  
dant  gaDaye  so  rahe  hain  
ye  kabhi  nahin  khulne  wali  neend  hai  
ye  kabhi  nahin  khatm  hone  wali  raat  hai  
kisi  ne  deh  ka  paisa  chukaya  
kisi  ne  haq  
raat  haramzadi  aurat  hai  
tum  usi  haramzadi  ke  jane  
ye  badan  par  galiyon  ka  lep  hai  
ab  nahane  ka  waqt  hua  
ek  mard  der  raat  nashe  mein  hai  
wo  khane  ki  thali  ko  lat  marta  hai  
wo  aurat  ko  dekh  karta  hai  ankhen  lal  
wo  bachchon  ko  baDi  awaz  mein  so  jane  ka  adesh  deta  hai  
bachchon  ke  kamre  mein  shant  si  halchal  hai  
bachchon  ki  ankhen  diwar  ke  par  dekh  rahi  hain  
bachchon  ke  kan  diwar  se  jharti  awaz  par  simat  rahe  hain  
adami  aurat  ki  raat  hai  
bematlab  ke  nashe  wale  wiwad  hain  
aurat  cheekh  nahin  rahi—bachchon  ki  khatir  
adami  dagh  raha  uske  hath  
dal  mein  ungli  Duba  use  pani  bata  raha  
ye  haramzadi  hi  rahegi  bata  raha  
raat  ke  kale  panne  par  ghor  sannata  hai  
ye  adalat  ke  sone  ka  samay  
police  ke  sone  ka  samay  
nyay  ke  sone  ka  samay  hai  
ye  aadam  ke  jag  ki  raat  hai  
sab  haramzadi  aurat  ki  chhati  par  
dant  gaDaye  so  rahe  hain  
ye  kabhi  nahin  khulne  wali  neend  hai  
ye  kabhi  nahin  khatm  hone  wali  raat  hai  
kisi  ne  deh  ka  paisa  chukaya  
kisi  ne  haq  
raat  haramzadi  aurat  hai  
tum  usi  haramzadi  ke  jane  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : शैलजा पाठक  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.