हरे मख़मली पत्तों पर
सहेजा
चम्पा का शीलवान फूल नहीं
अज्ञात रेगिस्तान में
जहाँ तहाँ भटकता
ख़ुदमुख़्तार रेत का बगूला है
रेलवे के प्रतीक्षालय में
बेसुध सो रही औरत
मानो, अगली किसी ट्रेन का टिकट
उसके बस्ते में नहीं
मानो इस शहर में कहीं जाना ही नहीं उसे
किसी घर में उसके दूर देस से लौट आने की
प्रतीक्षा नहीं हो रही
मानो, करवटें नहीं बदल रहा
कोई प्रेयस
कहीं उदास सफ़ेद सिलवटों पर
चूल्हे पर खदबदाती दाल कहीं विकल नहीं कि
कोई आए
चमचा ही घुमा जाए
मानो, नहीं है किसी दफ़्तर के
बेचैन आँकड़ों को
उसके एक सही का इंतज़ार
ऐसे सो रही है वह निश्चिंत
सूरज भी चढ़ आया है आज इस तेज़ी से
कि आस-पास बैठी औरतें
दिन चढ़े तक सोती इस औरत के
चाल चलन को लेकर हलकान होने लगी हैं
ऐसे तो यह
किसी रात प्रेम भी कर लेगी घर से बाहर
कैसी औरत है
इसे अपने थान पर पहुँचने की जल्दी नहीं
इसका कोई खूँटा है भी या नहीं
बिना नाथ पगहा सोती है क्या कोई औरत
ऐसे चित्त, ठीक पृथ्वी की छाती पर
रेलवे के वेटिंग रूम में सोती हुई अकेली स्त्री
जवाबदेह नहीं
चाय की असमय पुकार की
वह औरतों के
अकारण रात भर घर से बाहर रह सकने
की अपील पर
पहला हस्ताक्षर है।
hare makhmali patton par
saheja
champa ka shilawan phool nahin
agyat registan mein
jahan tahan bhatakta
khudmukhtar ret ka bagula hai
railway ke pratikshalay mein
besudh so rahi aurat
mano, agli kisi train ka ticket
uske baste mein nahin
mano is shahr mein kahin jana hi nahin use
kisi ghar mein uske door des se laut aane ki
pratiksha nahin ho rahi
mano, karawten nahin badal raha
koi preyas
kahin udas safed silawton par
chulhe par khadabdati dal kahin wikal nahin ki
koi aaye
chamcha hi ghuma jaye
mano, nahin hai kisi daftar ke
bechain ankaDon ko
uske ek sahi ka intzar
aise so rahi hai wo nishchint
suraj bhi chaDh aaya hai aaj is tezi se
ki aas pas baithi aurten
din chaDhe tak soti is aurat ke
chaal chalan ko lekar halkan hone lagi hain
aise to ye
kisi raat prem bhi kar legi ghar se bahar
kaisi aurat hai
ise apne than par pahunchne ki jaldi nahin
iska koi khunta hai bhi ya nahin
bina nath pagha soti hai kya koi aurat
aise chitt, theek prithwi ki chhati par
railway ke weting room mein soti hui akeli istri
jawabadeh nahin
chay ki asamay pukar ki
wo aurton ke
akaran raat bhar ghar se bahar rah sakne
ki appeal par
pahla hastakshar hai
hare makhmali patton par
saheja
champa ka shilawan phool nahin
agyat registan mein
jahan tahan bhatakta
khudmukhtar ret ka bagula hai
railway ke pratikshalay mein
besudh so rahi aurat
mano, agli kisi train ka ticket
uske baste mein nahin
mano is shahr mein kahin jana hi nahin use
kisi ghar mein uske door des se laut aane ki
pratiksha nahin ho rahi
mano, karawten nahin badal raha
koi preyas
kahin udas safed silawton par
chulhe par khadabdati dal kahin wikal nahin ki
koi aaye
chamcha hi ghuma jaye
mano, nahin hai kisi daftar ke
bechain ankaDon ko
uske ek sahi ka intzar
aise so rahi hai wo nishchint
suraj bhi chaDh aaya hai aaj is tezi se
ki aas pas baithi aurten
din chaDhe tak soti is aurat ke
chaal chalan ko lekar halkan hone lagi hain
aise to ye
kisi raat prem bhi kar legi ghar se bahar
kaisi aurat hai
ise apne than par pahunchne ki jaldi nahin
iska koi khunta hai bhi ya nahin
bina nath pagha soti hai kya koi aurat
aise chitt, theek prithwi ki chhati par
railway ke weting room mein soti hui akeli istri
jawabadeh nahin
chay ki asamay pukar ki
wo aurton ke
akaran raat bhar ghar se bahar rah sakne
ki appeal par
pahla hastakshar hai
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.