अभी-अभी खेत से सब्ज़ियाँ तोड़कर लौटा ही था कि
अँग्रेज़ी भाषा के मैनुअल के साथ
एक बंदूक़ थमा दी गई
और कहा गया कि
तुम्हें देश के लिए लड़ना है
अभी तक उसे देश का पेट भरना था
अब लड़ना है
उसे अँग्रेज़ी नहीं आती यूक्रेनियन आती है
वह एक जगह बैठ गया
काफ़ी देर तक बंदूक़ को उलट-पलटकर देखता रहा
उसने देखा कि
बंदूक़ से
कभी भी आप खेत नहीं जोत सकते
उसकी गर्भवती पत्नी दरवाज़ा थामे उसे दूर से देखती रही
कुछ देर तक उसने बंदूक़ को
अपने हाथों में उठाया
और उसके वजन का अंदाज़ा लगाना चाहा
फिर सीधा खड़ा हो गया
उसने बंदूक़ को एक तरफ़ रख दिया
फिर कुल्हाड़ी उठाई
उसके हाथ कुल्हाड़ी को जानते थे
कुल्हाड़ी उसकी भाषा समझती थी
वह अपनी गर्भवती पत्नी के पास पहुँचा
उसने उसे गले लगाया और कहा
मेरे बच्चे को बताना कि उसके पिता ने
बंदूक़वालों पर कुल्हाड़ी चलाई थी
जहाँ मेरी लाश गिरे वहाँ एक चेरी का पेड़ लगा देना
abhi abhi khet se sabjiyan toD kar lauta hi tha ki
angrezi bhasha ke mainual ke saath
ek
banduk thama di gai
aur kaha
tumhein desh ke liye laDna hai
abhi tak use desh ka pet bharna tha
ab laDna hai
use angrezi nahin aati yukreniyan aati hai
wo ek jagah baith gaya
kaphi der tak banduk ko ulat palat kar dekhta raha
usne dekha ki
banduk se
kabhi bhi aap khet nahin jot sakte
uski garbhavti patni darvaza thame use door se dekhti rahi
kuch der tak usne banduk ko apne hathon mein uthaya aur uske vajan ka andaza lagana chaha
phir sidha khaDa ho gaya
usne banduk ko ek taraf rakh diya
phir kulhaDi uthai
uske haath kulhaDi ko jante the
kulhaDi uski bhasha samajhti thi
wo apni garbhavti patni ke paas pahuncha
usne use gale lagaya aur kaha
mere bachche ko batana uske pita ne banduk valon par kulhaDi chalai thi
jahan meri laash gire vahan ek cheri ka peD laga dena

स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.