प्रेम करने का वाजिब तरीक़ा क्या होगा?
यह जानकारी किसी ताबीज़ में बँधी क्यों नहीं मिलती?
जैसे पत्तों से नवंबर की सर्द धूप सोख लेती है ओस
प्रेम-ताबीज़ खींच निकालेगा प्रेम-भूत
निवार देगा ग्रह-क्लेश
सूखी टहनी-से बदन के भीतर ओस-सा तरल हृदय
प्रेम की आहट पर नवंबर की धूप-सा कोमल बनेगा
मैं ज्योतिष होता तो बनाता एक ताबीज़
गणना करता उन सभी दशाओं-महादशाओं की
मंत्रोच्चार से भर देता उसके भीतर प्रेम करने का ब्रह्म तरीक़ा
ब्रह्म क्या करता है प्रेम सबसे वाजिब तरीक़े से
या
उसे भी प्रेम की नासमझी ने माया को रूठा दिया
मैं ब्रह्म होता तो यह दुनिया का सारा प्रेम मुट्ठी भर जगह में नाप देता
तीन डग में नपने वाला जग बस बचा पाता है मुट्ठी भर प्रेम
प्रेम करने के वाजिब तरीक़े से
मुट्ठी भर ही प्रेम, चलाता पूरी दुनिया
prem karne ka wajib tariqa kya hoga?
ye jankari kisi tabiz mein bandhi kyon nahin milti?
jaise patton se nowember ki sard dhoop sokh leti hai os
prem tabiz kheench nikalega prem bhoot
niwar dega grah klesh
sukhi tahni se badan ke bhitar os sa taral hirdai
prem ki aahat par nowember ki dhoop sa komal banega
main jyotish hota to banata ek tabiz
ganana karta un sabhi dashaon mahadshaon ki
mantrochchar se bhar deta uske bhitar prem karne ka brahm tariqa
brahm kya karta hai prem sabse wajib tariqe se
ya
use bhi prem ki nasamjhi ne maya ko rutha diya
main brahm hota to ye duniya ka sara prem mutthi bhar jagah mein nap deta
teen Dag mein napne wala jag bus bacha pata hai mutthi bhar prem
prem karne ke wajib tariqe se
mutthi bhar hi prem, chalata puri duniya

स्रोत :
रचनाकार : अविनाश
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.