प्रेम
जो होता है असीम
उसे सीमित करता है साथ—
हो सकता है वह किसी प्रेमी के दिल जितना छोटा
या किसी अँगूठी के वलय जितना संकीर्ण,
सौंदर्य
जो होता है निराकार
क़द्रदान उसे सजा सकते हैं दीवाल पर किसी फ़्रेम में
क्रय-विक्रय कर सकते हैं उस पर बोलियाँ लगा कर।
तुम जो किसी तितली की तरह सुंदर हो
मेरा दिल फूल-सा सिहरता है तुम्हें छू कर
जब तुम चली जाती हो हर बार
वह तुम्हारे लौट आने का करता है इंतज़ार।
अपनी संपूर्णता में व्याकुल—
पुकारता है चारों दिशाओं में तुम्हें नि:शब्द
एक-एक पंखुड़ी संग
तुम्हारी स्मृति की धूल में सो जाता है।
कोई महक तुम्हें खींचेगी कभी
तो फिर आओगी तुम,
चुन लेना यहाँ कोई फूल ज़रूर
वे तुम्हारी कामना में खिलते हैं
महक सँजोए हुए मुरझाते हैं।
prem
jo hota hai asim
use simit karta hai sath—
ho sakta hai wo kisi premi ke dil jitna chhota
ya kisi anguthi ke walay jitna sankirn,
saundarya
jo hota hai nirakar
qadrdan use saja sakte hain diwal par kisi frame mein
kray wikray kar sakte hain us par boliyan laga kar
tum jo kisi titli ki tarah sundar ho
mera dil phool sa siharta hai tumhein chhu kar
jab tum chali jati ho har bar
wo tumhare laut aane ka karta hai intzar
apni sampurnta mein wyakul—
pukarta hai charon dishaon mein tumhein nihshabd
ek ek pankhuDi sang
tumhari smriti ki dhool mein so jata hai
koi mahak tumhein khinchegi kabhi
to phir aogi tum,
chun lena yahan koi phool zarur
we tumhari kamna mein khilte hain
mahak sanjoe hue murjhate hain
prem
jo hota hai asim
use simit karta hai sath—
ho sakta hai wo kisi premi ke dil jitna chhota
ya kisi anguthi ke walay jitna sankirn,
saundarya
jo hota hai nirakar
qadrdan use saja sakte hain diwal par kisi frame mein
kray wikray kar sakte hain us par boliyan laga kar
tum jo kisi titli ki tarah sundar ho
mera dil phool sa siharta hai tumhein chhu kar
jab tum chali jati ho har bar
wo tumhare laut aane ka karta hai intzar
apni sampurnta mein wyakul—
pukarta hai charon dishaon mein tumhein nihshabd
ek ek pankhuDi sang
tumhari smriti ki dhool mein so jata hai
koi mahak tumhein khinchegi kabhi
to phir aogi tum,
chun lena yahan koi phool zarur
we tumhari kamna mein khilte hain
mahak sanjoe hue murjhate hain
स्रोत :
रचनाकार : सुघोष मिश्र
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.