वह मैं ही था
जिसने हेराफेरी, बेईमानी
और कुनबा-परवरी के आगे
अस्तित्वहीन होकर
फेंक दिए थे हथियार
वह मैं ही था तीरंदाज़, बाहुबली
अर्जुन, जिसने अन्याय के सम्मुख
धुरंधर ऋषियों, पुरखों की
आडंबरी विद्वता से आतंकित होकर
आत्मसमर्पण करना चाहा था
और फिर आए भगवान कृष्ण
मुझे उन्होंने जगाया नींद से
कृष्ण ने समझाया, सँभाला मुझे
अपनी कृपादृष्टि से
कृष्ण ने मुझे शिक्षा दी
स्वाभिमान और इज़्ज़त का पाठ
प्रत्यक्ष बताया मुझे कृष्ण ने
द्रोपदी का निर्वस्त्र होना और लाज बचाना
कृष्ण ने ही किया मुझे
विद्वता के आडंबर से भयमुक्त
भगवान ने मुझे कहा
अपने-आप से पार जाने के लिए
आने वाले लोगों को
खुला छोड़ने को
युद्ध आवश्यक है
वह मैं ही हूँ जो लड़ता बार-बार
कृष्ण की छाया में
परिवारवाद, फ़रेब
और आडंबरी विद्वता के ख़िलाफ़
मैं ही था जिसने
आकाश को लगाई थी आग
अपने तूफ़ानी तीरों के साथ
वह मैं ही था
जिसने उड़ाए थे सिर
दंभी ऋषियों के।
बाबा फ़रीद के श्लोकों में गूँजता
दुख, मैं ही तो हूँ
भगत कबीर ने तानापेटा लगाते
पढ़ाया था मुझे ही
पाखंड के परखच्चे उड़ाने का पाठ
गुरु अर्जुन मुझे ही देकर गए थे
वे शब्द
जिन्हें पढ़ते-सुनते
मनुष्य अमरत्व पा जाता है
गुरु गोबिंद का भाई कन्हैया
मैं ही तो था
आप मुझे जगह-जगह मिल सकते हैं
बाणों के साथ अन्याय को बींधते
घायलों की मरहम-पट्टी करते
शब्द का सम्मान सुरक्षित रखते हुए
श्लोकों में गूँजते दुख को सुनते हुए
भारी-भरकम आडंबरी विद्वता को
हथेली पर टिका
फूँक मारकर उड़ाते हुए
अपने पसीने की बूँदों से
दूध-सी गंध सूँघते-सुँघाते
प्यार से लबरेज़
मस्ती में नाचते-नचाते हुए
आप जिस आदमी को भी मिलोगे
वह मैं ही होऊँगा
वह मैं नहीं, आप स्वयं होंगे
वस्तुत:
मैं तो बार-बार
जीतकर भी हार जाता हूँ
और हो जाता हूँ
अधिक बेचैन
आर उदास।
wo main hi tha
jisne herapheri, beimani
aur kunba parwari ke aage
astitwhin hokar
phenk diye the hathiyar
wo main hi tha tirandaz, bahubli
arjun, jisne annyaye ke sammukh
dhurandhar rishiyon, purkhon ki
aDambri widwta se atankit hokar
atmasmarpan karna chaha tha
aur phir aaye bhagwan krishn
mujhe unhonne jagaya neend se
krishn ne samjhaya, sambhala mujhe
apni kripadrishti se
krishn ne mujhe shiksha di
swabhiman aur izzat ka path
pratyaksh bataya mujhe krishn ne
daropdi ka nirwastr hona aur laj bachana
krishn ne hi kiya mujhe
widwta ke aDambar se bhaymukt
bhagwan ne mujhe kaha
apne aap se par jane ke liye
ane wale logon ko
khula chhoDne ko
yudh awashyak hai
wo main hi hoon jo laDta bar bar
krishn ki chhaya mein
pariwarawad, fareb
aur aDambri widwta ke khilaf
main hi tha jisne
akash ko lagai thi aag
apne tufani tiron ke sath
wo main hi tha
jisne uDaye the sir
dambhi rishiyon ke
baba fari ke shlokon mein gunjta
dukh, main hi to hain
bhagat kabir ne tanapeta lagate
paDhaya tha mujhe hi
pakhanD ke parkhachche uDane ka path
guru arjun mujhe hi dekar gaye the
we shabd
jinhen paDhte sunte
manushya amratw pa jata hai
guru gobind ka bhai kanhayya
main hi to tha
ap mujhe jagah jagah mil sakte hain
banon ke sath annyaye ko bindhte
ghaylon ki marham patti karte
shabd ka samman surakshait rakhte hue
shlokon mein gunjte dukh ko sunte hue
bhari bharkam aDambri widwta ko
hatheli par tika
phoonk markar uDate hue
apne pasine ki bundon se
doodh si gandh sunghte sunghate
pyar se labrez
masti mein nachte nachate hue
ap jis adami ko bhi miloge
ye main hi hounga
wo main nahin, aap swayan honge
wastutah
main to bar bar
jitkar bhi haar jata hoon
adhik bechain
ar udas
wo main hi tha
jisne herapheri, beimani
aur kunba parwari ke aage
astitwhin hokar
phenk diye the hathiyar
wo main hi tha tirandaz, bahubli
arjun, jisne annyaye ke sammukh
dhurandhar rishiyon, purkhon ki
aDambri widwta se atankit hokar
atmasmarpan karna chaha tha
aur phir aaye bhagwan krishn
mujhe unhonne jagaya neend se
krishn ne samjhaya, sambhala mujhe
apni kripadrishti se
krishn ne mujhe shiksha di
swabhiman aur izzat ka path
pratyaksh bataya mujhe krishn ne
daropdi ka nirwastr hona aur laj bachana
krishn ne hi kiya mujhe
widwta ke aDambar se bhaymukt
bhagwan ne mujhe kaha
apne aap se par jane ke liye
ane wale logon ko
khula chhoDne ko
yudh awashyak hai
wo main hi hoon jo laDta bar bar
krishn ki chhaya mein
pariwarawad, fareb
aur aDambri widwta ke khilaf
main hi tha jisne
akash ko lagai thi aag
apne tufani tiron ke sath
wo main hi tha
jisne uDaye the sir
dambhi rishiyon ke
baba fari ke shlokon mein gunjta
dukh, main hi to hain
bhagat kabir ne tanapeta lagate
paDhaya tha mujhe hi
pakhanD ke parkhachche uDane ka path
guru arjun mujhe hi dekar gaye the
we shabd
jinhen paDhte sunte
manushya amratw pa jata hai
guru gobind ka bhai kanhayya
main hi to tha
ap mujhe jagah jagah mil sakte hain
banon ke sath annyaye ko bindhte
ghaylon ki marham patti karte
shabd ka samman surakshait rakhte hue
shlokon mein gunjte dukh ko sunte hue
bhari bharkam aDambri widwta ko
hatheli par tika
phoonk markar uDate hue
apne pasine ki bundon se
doodh si gandh sunghte sunghate
pyar se labrez
masti mein nachte nachate hue
ap jis adami ko bhi miloge
ye main hi hounga
wo main nahin, aap swayan honge
wastutah
main to bar bar
jitkar bhi haar jata hoon
adhik bechain
ar udas
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 483)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.