भुरभुरी रेतीली ज़मीन पर
पड़ती जेठ की धूप
नदी किनारे कि तपती ज़मीन पर
भागता क़दम—
मेरा और तुम्हारा
और जेठ की दुपहरी से
अपने आप हो जाती शाम
और गहराती शाम में
पानी की छत पर
नाव में जुगलबंदी करते हम
हौले-हौले बहते पानी से
सुनता कुछ—अनबोला निर्वात—
तुम मुझसे लिपटतीं
लिपटकर चूमतीं
चूम कर अपने नाख़ून से
मेरे वक्ष पर
लिख देतीं
प्यार की लंबी रक्तिम रेखा
सि...स...कि...याँ... छूटने पर
तुम विदा माँगतीं
और जेठ की दुपहरी से
नदी किनारे से
रेतीली ज़मीन से
पानी की छत और नाव से
वादा करते कि...
—हम फिर मिलेंगे साथियों
इतिहास पुरुष जैसा
काले आखरों की अंतहीन
उलझी दीवार फाँद कर
बाहर आने की चाह
स्याह दुनिया में
प्रलाप छोड़ना चाहता है, वो
किताबों की दुनिया से
जो शायद कह न पाया हो
(अधूरे विचार)
जो ज़िंदगी से पहले दफ़्न हो गए
उसे पकाकर-सिंझाकर
निकालना चाहता है
आना चाहता है
पनियाई ख़ामोशी में
क़ब्र की मिट्टियों में
हौले-हौले
होती है सुगबुगाहट
आता है धीरे-धीरे
क़ब्रिस्तान से
साथ में मुर्दों की फ़ौज
देखता है जीते-जागते इंसानों की कमीनगी
दुर्गंध देती
लिजलिजी-चिपचिपी दुनिया
अर्थ-विकास-समाज-तंत्र
भागता है क़दम
फिर उसी क़ब्रिस्तान में
जहाँ से आया था
कि दूर से गूँजती है—
नारे की क़तार
गड़ासा-भाला-तलवार की
साँय-साँय-साँय
'निकलो', 'बाहर निकलो' की चिल्लाहट
कि सबके सब
मुर्दों के साथ
वह भी ज़ोर से चीख़ता है
'हमें अंदर ही रहने दो
हम यहीं हैं—तो ठीक हैं'
वह चीख़ता है
चीख़ता ही रह जाता है
इतिहास पुरुष जैसा कोई एक
पर प्रेतों की आवाज़ है
जो इंसानों से ऊँची
कभी हो ही नहीं सकती।
bhurabhuri retili zamin par
paDti jeth ki dhoop
nadi kinare ki tapti zamin par
bhagta qadam—
mera aur tumhara
aur jeth ki dupahri se
apne aap ho jati sham
aur gahrati sham mein
pani ki chhat par
naw mein jugalbandi karte hum
haule haule bahte pani se
sunta kuchh—anbola nirwat—
tum mujhse lipattin
lipatkar chumtin
choom kar apne nakhun se
mere waksh par
likh detin
pyar ki lambi raktim rekha
si s ki yan chhutne par
tum wida mangatin
aur jeth ki dupahri se
nadi kinare se
retili zamin se
pani ki chhat aur naw se
wada karte ki
—ham phir milenge sathiyon
itihas purush jaisa
kale akhron ki anthin
uljhi diwar phand kar
bahar aane ki chah
syah duniya mein
pralap chhoDna chahta hai, wo
kitabon ki duniya se
jo shayad kah na paya ho
(adhure wichar)
jo zindagi se pahle dafn ho gaye
use pakakar sinjhakar
nikalna chahta hai
ana chahta hai
paniyai khamoshi mein
qabr ki mittiyon mein
haule haule
hoti hai sugbugahat
ata hai dhire dhire
qabristan se
sath mein murdon ki fauj
dekhta hai jite jagte insanon ki kamingi
durgandh deti
lijaliji chipachipi duniya
arth wikas samaj tantr
bhagta hai qadam
phir usi qabristan mein
jahan se aaya tha
ki door se gunjti hai—
nare ki qatar
gaDasa bhala talwar ki
sanya sanya sanya
niklo, bahar niklo ki chillahat
ki sabke sab
murdon ke sath
wo bhi zor se chikhta hai
hamen andar hi rahne do
hum yahin hain—to theek hain
wo chikhta hai
chikhta hi rah jata hai
itihas purush jaisa koi ek
par preton ki awaz hai
jo insanon se unchi
kabhi ho hi nahin sakti
bhurabhuri retili zamin par
paDti jeth ki dhoop
nadi kinare ki tapti zamin par
bhagta qadam—
mera aur tumhara
aur jeth ki dupahri se
apne aap ho jati sham
aur gahrati sham mein
pani ki chhat par
naw mein jugalbandi karte hum
haule haule bahte pani se
sunta kuchh—anbola nirwat—
tum mujhse lipattin
lipatkar chumtin
choom kar apne nakhun se
mere waksh par
likh detin
pyar ki lambi raktim rekha
si s ki yan chhutne par
tum wida mangatin
aur jeth ki dupahri se
nadi kinare se
retili zamin se
pani ki chhat aur naw se
wada karte ki
—ham phir milenge sathiyon
itihas purush jaisa
kale akhron ki anthin
uljhi diwar phand kar
bahar aane ki chah
syah duniya mein
pralap chhoDna chahta hai, wo
kitabon ki duniya se
jo shayad kah na paya ho
(adhure wichar)
jo zindagi se pahle dafn ho gaye
use pakakar sinjhakar
nikalna chahta hai
ana chahta hai
paniyai khamoshi mein
qabr ki mittiyon mein
haule haule
hoti hai sugbugahat
ata hai dhire dhire
qabristan se
sath mein murdon ki fauj
dekhta hai jite jagte insanon ki kamingi
durgandh deti
lijaliji chipachipi duniya
arth wikas samaj tantr
bhagta hai qadam
phir usi qabristan mein
jahan se aaya tha
ki door se gunjti hai—
nare ki qatar
gaDasa bhala talwar ki
sanya sanya sanya
niklo, bahar niklo ki chillahat
ki sabke sab
murdon ke sath
wo bhi zor se chikhta hai
hamen andar hi rahne do
hum yahin hain—to theek hain
wo chikhta hai
chikhta hi rah jata hai
itihas purush jaisa koi ek
par preton ki awaz hai
jo insanon se unchi
kabhi ho hi nahin sakti
स्रोत :
रचनाकार : अरुणाभ सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.