निष्ठुरताओं से घिरा भयभीत मन
धैर्य का अभिनय कर रहा है
अवमुक्त होने के संदर्भ में
कुछ स्मृतियाँ कुछ आशंकाएँ बची हैं
आगंतुक पत्र के साथ
चपरासी
शहर से शहर भागता है
एक दिन ठग लिए गए समय की राख
हमारी नियोजित इच्छाओं पर
धूल की तरह
पड़ रही होती है
बहुत आत्मीय लगते हैं रास्ते
जटिल दुनिया में आतिथ्य तलाशते
प्रेम-पत्रों की तरह
उस दिन अमलतास से नीचे
कोई फूल नहीं गिरा
पदचिह्न मिटाकर
कोई ज्योत्सना-अभिमानी चल नहीं सकता
मैं एक खोया हुआ यात्री हूँ
अधिष्ठित सपनों में
अपना घर भूल आया हूँ
मैं जब सो जाता हूँ
तो मुझे अपने सपनों में
असली कहानी मिलती है
और देखता हूँ
आँखों से एक हाथ दूर
पुराना अतीत बैठा है
अजीब घटनाओं में
समय रुकने का भ्रम छिपा है
मन किसी शोकागार में बिलखती चिड़िया है
सम्प्रेषित नहीं हो पाता निष्ठुर अवबोध
कथानकों की दुर्लब्ध भाषा में गहरे डूबा मैं—
छिछला अवसाद लिए हुए
समय का प्रवाह अब आगे नहीं बढ़ रहा है
(हालाँकि आत्महत्या अब एक परित्यक्त विचार है)
और समय की प्रतिबद्धता जैसे हताशा का चेहरा है
प्रतिबद्धताएँ कातर मन का दिवास्वप्न हैं
यही वास्तविकता की संरचना की
कुल तोड़फोड़ है।
nishthurtaon se ghira bhaybhit man
dhairya ka abhinay kar raha hai
avmukt hone ke sandarbh men
kuch smritiyan kuch ashankayen bachi hain
agantuk patr ke saath
chaprasi
shahr se shahr bhagta hai
ek din thag liye ge samay ki raakh
hamari niyojit ichchhaon par
dhool ki tarah
paD rahi hoti hai
bahut atmiy lagte hain raste
jatil duniya mein atithya talashte
prem patron ki tarah
us din amaltas se niche
koi phool nahin gira
padchihn mitakar
koi jyotsna abhimani chal nahin sakta
main ek khoya hua yatri hoon
adhishthit sapnon men
apna ghar bhool aaya hoon
main jab so jata hoon
to mujhe apne sapnon men
asli kahani milti hai
aur dekhta hoon
ankhon se ek haath door
purana atit baitha hai
ajib ghatnaon men
samay rukne ka bhram chhipa hai
man kisi shokagar mein bilakhti chiDiya hai
sampreshit nahin ho pata nishthur avbodh
kathankon ki durlabdh bhasha mein gahre Duba main—
chhichhla avsad liye hue
samay ka pravah ab aage nahin baDh raha hai
(halanki atmahatya ab ek parityakt vichar hai)
aur samay ki pratibaddhata jaise hatasha ka chehra hai
pratibaddhtayen katar man ka divasvapn hain
yahi vastavikta ki sanrachna ki
kul toDphoD hai.
nishthurtaon se ghira bhaybhit man
dhairya ka abhinay kar raha hai
avmukt hone ke sandarbh men
kuch smritiyan kuch ashankayen bachi hain
agantuk patr ke saath
chaprasi
shahr se shahr bhagta hai
ek din thag liye ge samay ki raakh
hamari niyojit ichchhaon par
dhool ki tarah
paD rahi hoti hai
bahut atmiy lagte hain raste
jatil duniya mein atithya talashte
prem patron ki tarah
us din amaltas se niche
koi phool nahin gira
padchihn mitakar
koi jyotsna abhimani chal nahin sakta
main ek khoya hua yatri hoon
adhishthit sapnon men
apna ghar bhool aaya hoon
main jab so jata hoon
to mujhe apne sapnon men
asli kahani milti hai
aur dekhta hoon
ankhon se ek haath door
purana atit baitha hai
ajib ghatnaon men
samay rukne ka bhram chhipa hai
man kisi shokagar mein bilakhti chiDiya hai
sampreshit nahin ho pata nishthur avbodh
kathankon ki durlabdh bhasha mein gahre Duba main—
chhichhla avsad liye hue
samay ka pravah ab aage nahin baDh raha hai
(halanki atmahatya ab ek parityakt vichar hai)
aur samay ki pratibaddhata jaise hatasha ka chehra hai
pratibaddhtayen katar man ka divasvapn hain
yahi vastavikta ki sanrachna ki
kul toDphoD hai.
स्रोत :
रचनाकार : मनीष कुमार यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.