जब बजता है गहन रात्रि में
ठीक बारह बजे का घंटा
और दुनिया के अमन पसंद देश
मध्य रात्रि में देख रहे होते हैं
विश्व शांति का स्वप्न
उसी क्षण दुनिया के
किसी कोने में बजता है
युद्ध का बिगुल
और तमाम सभ्यताएँ
हो जाती है धराशाई
उजड़ जाते पेड़ की शाखाओं के
न जाने कितने घौंसले
उसी समय रात्रि के
अंतिम पहर एक छोटे से देश से
उड़ कर आया कबूतर
लाता है अमन शांति का दिव्य संदेश
और हम देश की सीमाओं, सरहदों से परे
जुड़ जाते हैं भावात्मक एकता में
नई ज्योति जलाकर
बन जाते हैं शांति के अग्रदूत!
jab bajta hai gahan ratri men
theek barah baje ka ghanta
aur duniya ke aman pasand desh
madhya ratri mein dekh rahe hote hain
vishv shanti ka svapn
usi kshan duniya ke
kisi kone mein bajta hai
yuddh ka bigul
aur tamam sabhytayen
ho jati hai dharashai
ujaD jate peD ki shakhaon ke
na jane kitne ghaunsle
usi samay ratri ke
antim pahar ek chhote se desh se
uD kar aaya kabutar
lata hai aman shanti ka divya sandesh
aur hum desh ki simaon, sarahdon se pare
juD jate hain bhavatmak ekta men
nai jyoti jalakar
ban jate hain shanti ke agradut!
jab bajta hai gahan ratri men
theek barah baje ka ghanta
aur duniya ke aman pasand desh
madhya ratri mein dekh rahe hote hain
vishv shanti ka svapn
usi kshan duniya ke
kisi kone mein bajta hai
yuddh ka bigul
aur tamam sabhytayen
ho jati hai dharashai
ujaD jate peD ki shakhaon ke
na jane kitne ghaunsle
usi samay ratri ke
antim pahar ek chhote se desh se
uD kar aaya kabutar
lata hai aman shanti ka divya sandesh
aur hum desh ki simaon, sarahdon se pare
juD jate hain bhavatmak ekta men
nai jyoti jalakar
ban jate hain shanti ke agradut!
स्रोत :
रचनाकार : वंदना गुप्ता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.