तटों को फलपूर्ण बनाने के लिए,
जल प्रदान करके लोक का पालन करने के लिए,
सब क्लेशों को धीरता से सहन करती हुई
वाहिनी प्रति-निमिष दौड़ रही है।
अपनी गति से आदित्य की तीव्र किरणों की
ताप-शक्ति का शमन करके, दिन-प्रति-दिन
समस्त चराचर लोक को चलाता हुआ
सदागति पवन सर्वत्र मंगल फैलाता है।
घोर अंधकार के साथ बिना संधि किए,
निरंतर युद्ध करते हुए, दुखियों को सँभालते हुए, दिन-रात
सुंदर प्रकाश देते हुए खड़े रहते हैं—जगत के
सेवकोत्तंस, सूर्य-चंद्र आदि।
भूमि के हृदय को शीतल करता हुआ, उसे अपनी
बाल्यसखी मानकर पारितोषिक देने के लिए,
फेनरूपी स्वेद से युक्त, सदा
प्रयत्नशील रहता है महासागर।
ये महाशक्ति स्वरूप सब
कर्मकांड का रहस्य जब स्पष्ट कर रहे हैं, तब
अंधे बनकर खड़े रहने वाले मूर्ख के रक्षक
धर्मदेव कौन-कौन हैं—मैं नहीं जानता।
आलस्य द्वारा हाथ बढ़ाकर सम्मुख रखे गए
थाल में क्या है—शून्यता के सिवा?
परिश्रम में दैव और भव्य मिल जाता है।
उसके बराबर श्रेष्ठ इस संसार में और क्या है?
taton ko phalpurn banane ke liye,
jal pradan karke lok ka palan karne ke liye,
sab kleshon ko dhirta se sahn karti hui
vahini prati nimish dauD rahi hai.
apni gati se aditya ki teevr kirnon
ki taap shakti ka shaman karke, din prati din
samast charachar lok ko chalata hua
sadagati pavan sarvatr mangal phailata hai.
ghor andhkar ke saath bina sandhi kiye,
nirantar yudh karte hue, dukhiyon ko sambhalte hue,
din raat sundar parkash dete hue khaDe rahte hain—jagat ke
sevkottans, surya chandr aadi.
bhumi ke hirdai ko shital karta hua, use apni
balyaskhi maan kar paritoshik dene ke liye,
phenrupi sved se yukt, sada
prayatnashil rahta hai mahasagar.
ye mahashakti svarup sab
karmakanD ka rahasy jab aspasht kar rahe hain, tab
andhe bankar khaDe rahne vale moorkh ke rakshak
dharmdev kaun kaun hain—main nahin janta.
alasy dvara haath baDha kar sammukh rakhe gaye
thaal mein kya hai—shunyata ke siva?
parishram mein daiv aur bhavy mil jata hai.
uske barabar shreshth is sansar mein aur kya hai?

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 671)
रचनाकार : वेण्णिकुलम गोपाल कुरुप
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.