मेले के
सबसे ऊँचे पेड़ की
सबसे ऊँची डाल पर बैठ
वसंत के हरकारे ने
आज़ादी कहा ही था—
सर्कस में
एक पहिया साइकिल पर
करतब दिखा रहे
मुख्य कलाकार की निक्कर
घुटनों तक
खिसक गई
मौत के कुएँ में
बेधड़क दौड़ाए जा रहे
मोटर साइकिल के दोनों टायर
धड़ाम से पंचर हो गए
मैदान के बीचोबीच
तंबू की छाँव में बैठे
थानेदार की कुर्सी के नीचे की ज़मीन
कोसे पानी से गीली हो गई
हरकारे ने
दूसरी बार कहा—आज़ादी
दो गुणा दो फ़ीट के टेबल पर
अपने रिंगमास्टर के सामने
दुबक कर बैठा बब्बर शेर
जीवन में पहली बार दहाड़ा
तोते ने पिंजरे को तोड़
कार्डों को आग लगा
ज्योतिषी के सिर पर
पहली बार
बीट की
चिपके गालों पर
भारी फाउंडेशन लगा
स्टेज पर
ब्रा-पैंटी पहन
नाचने वाली युवती ने
तमाम अश्लील वस्त्र
मालिक के मुँह पर मार
पहली बार
अपनी मर्ज़ी के कपड़े पहने
हरकारे ने तीसरी बार
नहीं कहा आज़ादी
आज़ादी
कोई मार्केटिंग टूल नहीं होती
न ही
किसी बहुराष्ट्रीय कंपनी का विज्ञापन
जिसको बार-बार टेलीविज़न पर दिखाया जाए
ब्रह्मांड का सबसे क़ीमती अहसास
ख़ैरात में नहीं मिलता
यह कहकर
हरकारे ने
जैसे ही नीचे छलाँग लगाई
लचकी टहनी झट से
हवा में झूलने लगी
मैंने देखा मेले में
आज़ादी की चाह रखने वाले हर किसी ने देखा
झूल-झूलकर इतरा रही टहनी
पलाश के फूलों से लद चुकी थी
आपने अभी तक नहीं देखा
क्या सच में नहीं देखा।
menle ke
sabse unche peD ki
sabse unchi Daal par baith
vasant ke harkare ne
azadi kaha hi tha—
circus men
ek pahiya cycle par
kartab dikha rahe
mukhy kalakar ki nikkar
ghutnon tak
khisak gai
maut ke kuen men
bedhaDak dauDaye ja rahe
motor cycle ke donon tyre
dhaDam se puncture ho gaye
maidan ke bichon beech
tambu ki chhaanv mein baithe
thanedar ki kursi ke niche ki zamin
kose pani se gili ho gai
harkare ne
dusri baar kaha—azadi
do gunaa do feet ke table par
apne ringmastar ke samne
dubak kar baitha babbar sher
jivan mein pahli baar dahaDa
tote ne
pinjre ko toD
karDon ko aag laga
jyotishi ke sir par
pahli baar
beet ki
chipke galon par
bhari phaunDeshan laga
stage par
bra painti pahan
nachne vali yuvati ne
tamam ashlil vastra
malik ke munh par maar
pahli baar
apni marzi ke kapDe pahne
harkare ne tisri baar
nahin kaha azadi
azadi
koi marketing tool nahin hoti
na hi
kisi bahurashtriy company ka vigyapan
jisko baar baar television par dikhaya jaye
brahmanD ka sabse qimti ahsas
khairat mein nahin milta
ye kah kar
harkare ne
jaise hi niche chhalang lagai
lachki tahni jhat se hava
mein jhulne lagi
mainne dekha
mele men
azadi ki chaah rakhne vale har kisi ne dekha
jhool jhool kar itra rahi tahni
palash ke phulon se lad chuki thi
aapne abhi tak nahin dekha
kya sach mein nahin dekha.
menle ke
sabse unche peD ki
sabse unchi Daal par baith
vasant ke harkare ne
azadi kaha hi tha—
circus men
ek pahiya cycle par
kartab dikha rahe
mukhy kalakar ki nikkar
ghutnon tak
khisak gai
maut ke kuen men
bedhaDak dauDaye ja rahe
motor cycle ke donon tyre
dhaDam se puncture ho gaye
maidan ke bichon beech
tambu ki chhaanv mein baithe
thanedar ki kursi ke niche ki zamin
kose pani se gili ho gai
harkare ne
dusri baar kaha—azadi
do gunaa do feet ke table par
apne ringmastar ke samne
dubak kar baitha babbar sher
jivan mein pahli baar dahaDa
tote ne
pinjre ko toD
karDon ko aag laga
jyotishi ke sir par
pahli baar
beet ki
chipke galon par
bhari phaunDeshan laga
stage par
bra painti pahan
nachne vali yuvati ne
tamam ashlil vastra
malik ke munh par maar
pahli baar
apni marzi ke kapDe pahne
harkare ne tisri baar
nahin kaha azadi
azadi
koi marketing tool nahin hoti
na hi
kisi bahurashtriy company ka vigyapan
jisko baar baar television par dikhaya jaye
brahmanD ka sabse qimti ahsas
khairat mein nahin milta
ye kah kar
harkare ne
jaise hi niche chhalang lagai
lachki tahni jhat se hava
mein jhulne lagi
mainne dekha
mele men
azadi ki chaah rakhne vale har kisi ne dekha
jhool jhool kar itra rahi tahni
palash ke phulon se lad chuki thi
aapne abhi tak nahin dekha
kya sach mein nahin dekha.
स्रोत :
रचनाकार : कुमार कृष्ण शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.