प्रणय मधु-वधू-अपने पति के घर चल पड़ी
आँगन में चमेली की कलियाँ
मौलिश्री के पुष्पों और सुन्दर चौक पूरनो के
परिचयवश विदाई के गीत गा रही थी
अटूट ममता तोड़ नहीं पाती
लड़खड़ाती हुई आगे क़दम नहीं बढ़ा पाती
व्यथित होने वाली माता की गोद में अपना मुँह छिपाकर
आँसुओं की झड़ी बहाने लगी
अड़ोस-पड़ोस की सखियों ने यह कहकर—
हमें विस्मृत करना नहीं—
चुटकुले छोड़े और बार-बार अपनी ममता जताई
लाड़-प्यार किया
काकी ने आशीर्वाद दिया है कि
अपनी गृहस्थी को सँभाल लेना।
चाची ने प्रेमभरे शब्दों में आशीर्वाद दिया
पुत्रवती भव! एक वृद्धा सौभाग्यवती स्त्री
जब उसके चरणों में महावर लगा रही थी
तब उसके कज्जल-पूर्ण नयनों से अश्रु टपक पड़े
सखियों ने गद्गद् वाणी में कहा,
हे कल्याणि!—पति के यहाँ जाओ—
उनके नेत्र अश्रु-सिक्त थे
मंदिर की घंटियों की क्षुद्र टनटनाहट—
बैलों की क्षुद्रघटिकाओं की रुन-झुन
श्रावण मेघ के समान मदगति से
गाड़ी आगे बढ़ी
रजत पर्वत के चन्द्रमा के समान
गाड़ी शहर के मोड़ पर मुड़ी
उसका प्यारा गृह
धीरे-धीरे दूर होता गया
तड़ाग के तीर पर का मार्ग छोड़कर
ताल वन को भी पार करके गाड़ी आगे बढ़ी
धीरे-धीरे उसका ग्राम और दिन भी आँखों से ढलते गए
मद समीर हँस पड़ा
शरीर रोमांचित हुआ
पति का रूप हृदय में प्रतिभासित
ओंठों पर बिजली की छोटी रेखा
तिरछी चितवन वाली दुलहन
पति के यहाँ चल पड़ी।
pranay madhu vadhu apne pati ke ghar chal paDi.
angan mein chameli ki kaliyan
maulishri ke pushpon aur sundar chauk purno ke
parichayvash vidai ke geet ga rahi thi.
atut mamta toD nahin pati.
laDakhDati hui aage kadam nahin baDha pati.
vyathit hone vali mata ki god mein apna munh chhipakar
ansuon ki jhaDi bahane lagi.
aDos paDos ki sakhiyon ne ye kahkar—
hamen vismrit karna nahin—
chutkule chhoDe aur baar baar apni mamta jatai—
laaD pyaar kiya—
kaki ne ashirvad diya hai ki
apni grihasthi ko sanbhal lena.
chachi ne premabhre shabdon mein ashirvad diya
putravti bhav! ek vriddha saubhagyavti istri
jab uske charnon mein mahavar laga rahi thi
tab uske kajjal poorn naynon se ashru tapak paDe.
sakhiyon ne gadgad vani mein kaha,
he kalyani!—pati ke yahan jao—
unke netr ashru sikt the—
mandir ki ghantiyon ki kshaudr tanatnahat—
bailon ki kshudraghatikaon ki run jhun
shravan megh ke saman madagati se—
gaDi aage baDhi—
rajat parvat ke chandrma ke saman—
gaDi shahr ke moD par muDi—
uska pyara grih—
dhire dhire door hota gaya—
taDag ke teer par ka maag chhoDkar—
taal van ko bhi paar kar ke gaDi aage baDhi—
dhire dhire uska gram aur din bhi ankhon se Dhalte gaye—
mad samir hans paDa—
sharir romanchit hua—
pati ka roop hday mein pratibhasit—
onthon par bijli ki chhoti rekha—
tirchhi chitvan vali dulhan
pati ke yahan chal paDi—
pranay madhu vadhu apne pati ke ghar chal paDi.
angan mein chameli ki kaliyan
maulishri ke pushpon aur sundar chauk purno ke
parichayvash vidai ke geet ga rahi thi.
atut mamta toD nahin pati.
laDakhDati hui aage kadam nahin baDha pati.
vyathit hone vali mata ki god mein apna munh chhipakar
ansuon ki jhaDi bahane lagi.
aDos paDos ki sakhiyon ne ye kahkar—
hamen vismrit karna nahin—
chutkule chhoDe aur baar baar apni mamta jatai—
laaD pyaar kiya—
kaki ne ashirvad diya hai ki
apni grihasthi ko sanbhal lena.
chachi ne premabhre shabdon mein ashirvad diya
putravti bhav! ek vriddha saubhagyavti istri
jab uske charnon mein mahavar laga rahi thi
tab uske kajjal poorn naynon se ashru tapak paDe.
sakhiyon ne gadgad vani mein kaha,
he kalyani!—pati ke yahan jao—
unke netr ashru sikt the—
mandir ki ghantiyon ki kshaudr tanatnahat—
bailon ki kshudraghatikaon ki run jhun
shravan megh ke saman madagati se—
gaDi aage baDhi—
rajat parvat ke chandrma ke saman—
gaDi shahr ke moD par muDi—
uska pyara grih—
dhire dhire door hota gaya—
taDag ke teer par ka maag chhoDkar—
taal van ko bhi paar kar ke gaDi aage baDhi—
dhire dhire uska gram aur din bhi ankhon se Dhalte gaye—
mad samir hans paDa—
sharir romanchit hua—
pati ka roop hday mein pratibhasit—
onthon par bijli ki chhoti rekha—
tirchhi chitvan vali dulhan
pati ke yahan chal paDi—
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 385)
रचनाकार : चिरंजीवि
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.